Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miTa ke tirgi tanwir chahta hai dil

FaIyaz Rashk

miTa ke tirgi tanwir chahta hai dil

FaIyaz Rashk

MORE BYFaIyaz Rashk

    miTā ke tīrgī tanvīr chāhtā hai dil

    har ek ḳhvāb ta.abīr chāhtā hai dil

    jise sambhāl ke rakh le zamāna yādoñ meñ

    vo apnī zaat tasvīr chāhtā hai dil

    maiñ apne aap se jab jab savāl kartā huuñ

    mire javāb meñ tāsīr chāhtā hai dil

    suḳhan payām ho duniyā ke vāste koī

    diloñ ke vāste taqrīr chāhtā hai dil

    na chāhtā hai ki tīr-o-kamāñ baat karūñ

    na apne haath meñ shamshīr chāhtā hai dil

    tumheñ se raunaqeñ qaa.em haiñ bazm-e-hastī

    tumhāre pyaar jāgīr chāhtā hai dil

    vo jis pe rashk kare har koī zamāne meñ

    qalam shoḳhi-e-tahrīr chāhtā hai dil

    miTa ke tirgi tanwir chahta hai dil

    har ek KHwab ki tabir chahta hai dil

    jise sambhaal ke rakh le zamana yaadon mein

    wo apni zat ki taswir chahta hai dil

    main apne aap se jab jab sawal karta hun

    mere jawab mein tasir chahta hai dil

    suKHan payam ho duniya ke waste koi

    dilon ke waste taqrir chahta hai dil

    na chahta hai ki tir-o-kaman ki baat karun

    na apne hath mein shamshir chahta hai dil

    tumhein se raunaqen qaem hain bazm-e-hasti ki

    tumhaare pyar ki jagir chahta hai dil

    wo jis pe rashk kare har koi zamane mein

    qalam ki shoKHi-e-tahrir chahta hai dil

    Source:

    Fasl-e-khayaal (Pg. 42)

    • Author: Faiyaz Rashk
      • Edition: 2016
      • Publisher: Arshia Publications
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now