Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miTTi ki taswir hai insan lekin hai ye haal miyan

Qasim Niyazi

miTTi ki taswir hai insan lekin hai ye haal miyan

Qasim Niyazi

MORE BYQasim Niyazi

    miTTī tasvīr hai insāñ lekin hai ye haal miyāñ

    is ke dil meñ armānoñ phailā hai ik jaal miyāñ

    jis ko dekho dam bhartā hai ulfat pyaar mohabbat ke

    bātoñ dhanvān hai lekin dil hai kangāl miyāñ

    vaqt hai aisā farzānoñ ke paaoñ ukhḌe jaate haiñ

    ek na ik din kaam aa.egī dīvānoñ chaal miyāñ

    itnī kaḌī hai dhuup yahāñ terā merā zikr kyā

    kaise-kaise log yahāñ par haal se haiñ behāl miyāñ

    chāhat rangīn Dagar par tanhā chalnā khel nahīñ

    ham bhī 'niyāzī' ho aa.e haiñ hai janjāl miyāñ

    miTTi ki taswir hai insan lekin hai ye haal miyan

    is ke dil mein armanon ka phaila hai ek jal miyan

    jis ko dekho dam bharta hai ulfat pyar mohabbat ke

    baaton ka dhanwan hai lekin dil ka hai kangal miyan

    waqt hai aisa farzanon ke paon ukhDe jate hain

    ek na ek din kaam aaegi diwanon ki chaal miyan

    itni kaDi hai dhup yahan ki tera mera zikr hi kya

    kaise-kaise log yahan par haal se hain behaal miyan

    chahat ki rangin Dagar par tanha chalna khel nahin

    hum bhi 'niyazi' ho aae hain ji ka hai janjal miyan

    Source:

    Faraz-e-Nazar (Pg. 36)

    • Author: Qasim Niyazi
      • Publisher: Maktaba Sada-e-Urdu, Bhopal
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now