Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mizaj-e-shahr ki KHushki se ajnabi main tha

Mansoor Mahboob

mizaj-e-shahr ki KHushki se ajnabi main tha

Mansoor Mahboob

MORE BYMansoor Mahboob

    mizāj-e-shahr ḳhushkī se ajnabī maiñ thā

    paramparā kahānī meñ bid.atī maiñ thā

    ġharīq-e-fisq ke chehre ko yaad phir se kar

    masarratoñ bhare hoñToñ pe kapkapī maiñ thā

    tirā ye zo.am ki ḳhud aa gayā hai yahāñ

    ai nā-samajh tirī āñkhoñ raushnī maiñ thā

    ġhazal ġhazal pe tavajjoh sameTne vaale

    tirā kināya-o-tashbīh-o-shā.erī maiñ thā

    jise shaan se sar par uThā.e phirtā hai

    usī zarāfat-e-dil dharā kabhī maiñ thā

    tire vajūd se thī rangat-o-bahār-o-sabā

    tire chaman ke gulāboñ tāzgī maiñ thā

    mujhe nikāl ke us ne bhalā kiyā 'mansūr'

    bahisht-zār bas ik jahannamī maiñ thā

    mizaj-e-shahr ki KHushki se ajnabi main tha

    parampara ki kahani mein bidati main tha

    ghariq-e-fisq ke chehre ko yaad phir se kar

    masarraton bhare honTon pe kapkapi main tha

    tera ye zoam ki tu KHud hi aa gaya hai yahan

    ai na-samajh teri aankhon ki raushni main tha

    ghazal ghazal pe tawajjoh sameTne wale

    tera kinaya-o-tashbih-o-shaeri main tha

    jise tu shan se sar par uThae phirta hai

    usi zarafat-e-dil ka dhara kabhi main tha

    tere wajud se thi rangat-o-bahaar-o-saba

    tere chaman ke gulabon ki tazgi main tha

    mujhe nikal ke us ne bhala kiya 'mansur'

    bahisht-zar ka bas ek jahannami main tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now