Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mizha pe KHwab nahin intizar sa kuchh hai

Aslam Mahmood

mizha pe KHwab nahin intizar sa kuchh hai

Aslam Mahmood

MORE BYAslam Mahmood

    mizha pe ḳhvāb nahīñ intizār kuchh hai

    bahār to nahīñ aks-e-bahār kuchh hai

    mujhe milā na kabhī farsh-e-gul pe bhī ārām

    yahī lagā ki kahīñ nok-e-ḳhār kuchh hai

    jo paas thā isī saudā-e-sar nazr huā

    na dhajjiyāñ bachī haiñ na taar kuchh hai

    tamām umr jise maiñ ubuur kar na sakā

    darūn-e-zāt mire be-kanār kuchh hai

    guzar ga.ī mujhe chhū kar kisī ḳhayāl rau

    ufuq se tā-ba-ufuq rañg-zār kuchh hai

    ḳhayāl-o-ḳhvāb hue sab visāl ke lamhe

    nazar meñ sirf chamaktā ġhubār kuchh hai

    ye haal hai ki havāoñ se uljhā jaatā huuñ

    lahū meñ ab ke ajab intishār kuchh hai

    mizha pe KHwab nahin intizar sa kuchh hai

    bahaar to nahin aks-e-bahaar sa kuchh hai

    mujhe mila na kabhi farsh-e-gul pe bhi aaram

    yahi laga ki kahin nok-e-KHar sa kuchh hai

    jo pas tha isi sauda-e-sar ki nazr hua

    na dhajjiyan hi bachi hain na tar sa kuchh hai

    tamam umr jise main ubur kar na saka

    darun-e-zat mere be-kanar sa kuchh hai

    guzar gai mujhe chhu kar kisi KHayal ki rau

    ufuq se ta-ba-ufuq rang-zar sa kuchh hai

    KHayal-o-KHwab hue sab visal ke lamhe

    nazar mein sirf chamakta ghubar sa kuchh hai

    ye haal hai ki hawaon se uljha jata hun

    lahu mein ab ke ajab intishaar sa kuchh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now