Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

moajiza ye bhi dikhaya maine

Nigar Azeem

moajiza ye bhi dikhaya maine

Nigar Azeem

MORE BYNigar Azeem

    mo.ajiza ye bhī dikhāyā maiñ ne

    apne qātil ko rulāyā maiñ ne

    ḳhud zaḳhmoñ se sajāyā dil ko

    aur phir jashn manāyā maiñ ne

    ziist be-nūr huī jaatī thī

    phir lahū dil jalāyā maiñ ne

    chāñd aur phuul kyā har shai meñ

    bas tirā aks paayā maiñ ne

    terī yādoñ ko sajā kar dil meñ

    ik sanam-ḳhāna banāyā maiñ ne

    shahr-e-ehsās thā vo ḳhud bhī 'nigār'

    but-kada dil jo Dhāyā maiñ ne

    moajiza ye bhi dikhaya main ne

    apne qatil ko rulaya main ne

    KHud hi zaKHmon se sajaya dil ko

    aur phir jashn manaya main ne

    zist be-nur hui jati thi

    phir lahu dil ka jalaya main ne

    chand aur phul hi kya har shai mein

    bas tera aks hi paya main ne

    teri yaadon ko saja kar dil mein

    ek sanam-KHana banaya main ne

    shahr-e-ehsas tha wo KHud bhi 'nigar'

    but-kada dil ka jo Dhaya main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now