Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

moD tha kaisa tujhe tha khone wala main

Rajinder Manchanda Bani

moD tha kaisa tujhe tha khone wala main

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    moḌ thā kaisā tujhe thā khone vaalā maiñ

    ro paḌā huuñ kabhī na rone vaalā maiñ

    kyā jhoñkā thā chamak gayā tan man saarā

    pata na thā phir raakh thā hone vaalā maiñ

    lahr thī kaisī mujhe bhañvar meñ le aa.ī

    nadī kināre haath bhigone vaalā maiñ

    rañg kahāñ thā phuul pattī pattī meñ

    kiran kiran dhuup pirone vaalā maiñ

    kyā din biitā sab kuchh aañkh meñ phirtā hai

    jaag rahā huuñ maze meñ sone vaalā maiñ

    shahr-e-ḳhizāñ hai zardī oḌhe khaḌe haiñ peḌ

    manzar manzar nazar chubhone vaalā maiñ

    jo kuchh hai is paar vahī us paar bhī hai

    naav ab apnī aap Dubone vaalā maiñ

    moD tha kaisa tujhe tha khone wala main

    ro hi paDa hun kabhi na rone wala main

    kya jhonka tha chamak gaya tan man sara

    pata na tha phir rakh tha hone wala main

    lahr thi kaisi mujhe bhanwar mein le aai

    nadi kinare hath bhigone wala main

    rang kahan tha phul ki patti patti mein

    kiran kiran si dhup pirone wala main

    kya din bita sab kuchh aankh mein phirta hai

    jag raha hun maze mein sone wala main

    shahr-e-KHizan hai zardi oDhe khaDe hain peD

    manzar manzar nazar chubhone wala main

    jo kuchh hai is par wahi us par bhi hai

    naw ab apni aap Dubone wala main

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    moD tha kaisa tujhe tha khone wala main Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now