Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai

Muztar Khairabadi

mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    mohabbat bā.is-e-nā-mehrbānī hotī jaatī hai

    hamārī saarī mehnat dhūl-dhānī hotī jaatī hai

    hikāyat huuñ jo rātoñ ko hamesha hotī rahtī hai

    shikāyat huuñ jo aapas meñ zabānī hotī jaatī hai

    tirā ġham aaj tak taaza hai zālim varna duniyā meñ

    na.ī shai din guzarne se purānī hotī jaatī hai

    tumhārī yaad meñ ahl-e-jahāñ mar mar ke jiite haiñ

    qazā logoñ ke haq meñ zindagānī hotī jaatī hai

    baḌā ilzām Thahrā hai ta.alluq rishta-dārī

    qarābat mohabbat bad-gumānī hotī jaatī hai

    yahī tambīh milne par unheñ majbūr kartī hai

    yahī tākīd goyā zid baanī hotī jaatī hai

    mire ġham meñ vo majbūrī se un hāloñ ko pahuñche haiñ

    ki ab un nazākat nā-tavānī hotī jaatī hai

    tire kūche meñ ab gardish sūrat paḌtī jaatī hai

    zamīñ chaal daur-e-āsmānī hotī jaatī hai

    mire pahlū meñ dil kab thā lahū buuñd thī 'muztar'

    so ab vo buuñd bhī qismat se paanī hotī jaatī hai

    mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai

    hamari sari mehnat dhul-dhani hoti jati hai

    hikayat hun jo raaton ko hamesha hoti rahti hai

    shikayat hun jo aapas mein zabani hoti jati hai

    tera gham aaj tak taza hai zalim warna duniya mein

    nai shai din guzarne se purani hoti jati hai

    tumhaari yaad mein ahl-e-jahan mar mar ke jite hain

    qaza logon ke haq mein zindagani hoti jati hai

    baDa ilzam Thahra hai talluq rishta-dari ka

    qarabat ki mohabbat bad-gumani hoti jati hai

    yahi tambih milne par unhen majbur karti hai

    yahi takid goya zid ki bani hoti jati hai

    mere gham mein wo majburi se un haalon ko pahunche hain

    ki ab un ki nazakat na-tawani hoti jati hai

    tere kuche mein ab gardish ki surat paDti jati hai

    zamin ki chaal daur-e-asmani hoti jati hai

    mere pahlu mein dil kab tha lahu ki bund thi 'muztar'

    so ab wo bund bhi qismat se pani hoti jati hai

    Source:

    Khirman (Part-1) (Pg. 366)

    • Author: Muztar Khairabadi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Javed Akhtar
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now