Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ek aisa rasta hai

Zakariya Shaz

mohabbat ek aisa rasta hai

Zakariya Shaz

MORE BYZakariya Shaz

    mohabbat ek aisā rāsta hai

    chalo jitnā ye itnā rāsta hai

    havā hai dhund hai aur tez bārish

    pahāḌī hai zarā rāsta hai

    kabhī uktā gayā maiñ ḳhud ḳhud se

    kabhī apnā dekhā rāsta hai

    zamāne ho ga.e haiñ chalte chalte

    kahāñ jaatā ye dil rāsta hai

    kahīñ sāñseñ chaḌhā detā hai merī

    kahīñ āhista chaltā rāsta hai

    vahī oḌhī huī hai dhuul ab tak

    vahī pairoñ se lipTā rāsta hai

    ye kaise moḌ par maiñ aa gayā huuñ

    ki chaltā huuñ to chaltā rāsta hai

    mohabbat hausla hai apnā apnā

    kahīñ manzil kisī rāsta hai

    sabhī apnī apnī manzileñ 'shāz'

    sabhī apnā apnā rāsta hai

    mohabbat ek aisa rasta hai

    chalo jitna ye itna rasta hai

    hawa hai dhund hai aur tez barish

    pahaDi hai zara sa rasta hai

    kabhi ukta gaya main KHud hi KHud se

    kabhi apna hi dekha rasta hai

    zamane ho gae hain chalte chalte

    kahan jata ye dil ka rasta hai

    kahin sansen chaDha deta hai meri

    kahin aahista chalta rasta hai

    wahi oDhi hui hai dhul ab tak

    wahi pairon se lipTa rasta hai

    ye kaise moD par main aa gaya hun

    ki chalta hun to chalta rasta hai

    mohabbat hausla hai apna apna

    kahin manzil kisi ka rasta hai

    sabhi ki apni apni manzilen 'shaz'

    sabhi ka apna apna rasta hai

    Source:

    khamoshi ki khidkii se (Pg. 73)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now