Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat jis ghaDi karne chale the

Sohil Barelvi

mohabbat jis ghaDi karne chale the

Sohil Barelvi

MORE BYSohil Barelvi

    mohabbat jis ghaḌī karne chale the

    hamārī aql par patthar paḌe the

    ujaḌ kar rah gayā dil gulistāñ

    zamāne pahle yaañ par gul khile the

    hameñ bhī khā ga.ī āḳhir nigoḌī

    baḌe qisse mohabbat ke sune the

    taqāzā vaqt samjho miyāñ kuchh

    vo din ab bhuul jaao jo bure the

    yahāñ aa kar bahut hairat-zada haiñ

    yahīñ ik roz khul kar hañs rahe the

    musībat do-gunā baḌhne lagīñ ab

    guzishta vaqt meñ kitne maze the

    hathelī par hamārā dil rakhā thā

    tire hāthoñ meñ jab ḳhanjar chhupe the

    kisī taale lage kamre meñ haiñ ab

    tumhāre naam jo bhī ḳhat likhe the

    mohabbat jis ghaDi karne chale the

    hamari aql par patthar paDe the

    ujaD kar rah gaya dil ka gulistan

    zamane pahle yan par gul khile the

    hamein bhi kha gai aaKHir nigoDi

    baDe qisse mohabbat ke sune the

    taqaza waqt ka samjho miyan kuchh

    wo din ab bhul jao jo bure the

    yahan aa kar bahut hairat-zada hain

    yahin ek roz khul kar hans rahe the

    musibat do-guna baDhne lagin ab

    guzishta waqt mein kitne maze the

    hatheli par hamara dil rakha tha

    tere hathon mein jab KHanjar chhupe the

    kisi tale lage kamre mein hain ab

    tumhaare nam jo bhi KHat likhe the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now