Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ka jo ye anjam ho jae to hum jaanen

Syed Alim Wasti

mohabbat ka jo ye anjam ho jae to hum jaanen

Syed Alim Wasti

MORE BYSyed Alim Wasti

    mohabbat jo ye anjām ho jaa.e to ham jāneñ

    tirā jalva vafā paiġhām ho jaa.e to ham jāneñ

    ḳhirad silsila āḳhir junūñ se mil ke rahtā hai

    junūñ baḌh kar ḳhirad-anjām ho jaa.e to ham jāneñ

    ye duniyā hai yahāñ par aadmī to laakh milte haiñ

    jahāñ meñ ādamiyyat aam ho jaa.e to ham jāneñ

    tirī dargāh meñ maqbūl haiñ jāh-o-hasham vaale

    ġharīboñ bhī koī kaam ho jaa.e to ham jāneñ

    ye ham bhī dekh leñ patthar meñ kaise joñk lagtī hai

    kisī sūrat se vo but raam ho jaa.e to ham jāneñ

    naqāb-e-ruḳh ulaT mirī gustāḳh nazroñ ne

    mohabbat sahar ab shaam ho jaa.e to ham jāneñ

    qadam kuchh zabt o jur.at se uThānā shart hai 'ālim'

    mohabbat phir agar nākām ho jaa.e to ham jāneñ

    mohabbat ka jo ye anjam ho jae to hum jaanen

    tera jalwa wafa paigham ho jae to hum jaanen

    KHirad ka silsila aaKHir junun se mil ke rahta hai

    junun baDh kar KHirad-anjam ho jae to hum jaanen

    ye duniya hai yahan par aadmi to lakh milte hain

    jahan mein aadamiyyat aam ho jae to hum jaanen

    teri dargah mein maqbul hain jah-o-hasham wale

    gharibon ka bhi koi kaam ho jae to hum jaanen

    ye hum bhi dekh len patthar mein kaise jonk lagti hai

    kisi surat se wo but ram ho jae to hum jaanen

    naqab-e-ruKH ulaT hi di meri gustaKH nazron ne

    mohabbat ki sahar ab sham ho jae to hum jaanen

    qadam kuchh zabt o jurat se uThana shart hai 'alim'

    mohabbat phir agar nakaam ho jae to hum jaanen

    Source:

    دامن تار تار (Pg. 103)

    • Author: سید عالم واسطی
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now