Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ka junun tari idhar bhi hai udhar bhi hai

Zabt Ansari

mohabbat ka junun tari idhar bhi hai udhar bhi hai

Zabt Ansari

MORE BYZabt Ansari

    mohabbat junūñ taarī idhar bhī hai udhar bhī hai

    ḳhudā rakkhe ye hushyārī idhar bhī hai udhar bhī hai

    mohabbat fusūñ-kārī idhar bhī hai udhar bhī hai

    ye kāfir aql se aarī idhar bhī hai udhar bhī hai

    mohabbat meñ haiñ garche yaas ke din hijr rāteñ

    magar ye zindagī pyārī idhar bhī udhar bhī hai

    do-ālam kyoñ na phir ik dūsre par naaz farmā.eñ

    ki zauq-e-nāz-bardārī idhar bhī hai udhar bhī hai

    raheñge ban ke zīnat imtihāñ-gāh-e-mohabbat

    ye paimān-e-vafādārī idhar bhī hai udhar bhī hai

    zabān-e-dil yahāñ aañsū vahāñ bikhre hue gesū

    ḳhamoshī meñ sadā-kārī idhar bhī hai udhar bhī hai

    barābar āj-kal rangīñ hai husn-o-ishq dāman

    sarishk-e-ḳhūñ se gul-kārī idhar bhī hai udhar bhī hai

    chhuTā jaatā hai dāman zabt donoñ ke hāthoñ se

    kisī mahshar tayyārī idhar bhī hai udhar bhī hai

    mohabbat ka junun tari idhar bhi hai udhar bhi hai

    KHuda rakkhe ye hushyari idhar bhi hai udhar bhi hai

    mohabbat ki fusun-kari idhar bhi hai udhar bhi hai

    ye kafir aql se aari idhar bhi hai udhar bhi hai

    mohabbat mein hain garche yas ke din hijr ki raaten

    magar ye zindagi pyari idhar bhi udhar bhi hai

    do-alam kyon na phir ek dusre par naz farmaen

    ki zauq-e-naz-bardari idhar bhi hai udhar bhi hai

    rahenge ban ke zinat imtihan-gah-e-mohabbat ki

    ye paiman-e-wafadari idhar bhi hai udhar bhi hai

    zaban-e-dil yahan aansu wahan bikhre hue gesu

    KHamoshi mein sada-kari idhar bhi hai udhar bhi hai

    barabar aaj-kal rangin hai husn-o-ishq ka daman

    sarishk-e-KHun se gul-kari idhar bhi hai udhar bhi hai

    chhuTa jata hai daman zabt ka donon ke hathon se

    kisi mahshar ki tayyari idhar bhi hai udhar bhi hai

    Source:

    Gul e Zar ba Kaf (Pg. 139)

    • Author: Zabt Ansari
      • Publisher: Al-hafeez Enterprises
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now