Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat kam-nigahon ko nazar mein la nahin sakti

Najm Aafandi

mohabbat kam-nigahon ko nazar mein la nahin sakti

Najm Aafandi

MORE BYNajm Aafandi

    mohabbat kam-nigāhoñ ko nazar meñ nahīñ saktī

    ye bijlī har ḳhas-o-ḳhāshāk se Takrā nahīñ saktī

    jo kahnā hai kaho haq par kabhī aañch aa nahīñ saktī

    koī tāqat ḳhulūs-e-fikr ko jhuTlā nahīñ saktī

    girā kar arsh se bhī husn-e-be-parvā ne dekhā hai

    koī aalam ho merī ādamiyyat nahīñ saktī

    matānat aa chukī hai un ke lahje un bātoñ meñ

    vo chāheñ laakh chehre par matānat aa nahīñ saktī

    na samjho dost had tak kamāl apnī mohabbat

    abhī nāqis hai dushman ko agar taḌpā nahīñ saktī

    girā huuñ rabb-e-qibla jab bhī Thokar maiñ ne khaa.ī hai

    mirī ḳhuddārī aisī vaisī Thokar khā nahīñ saktī

    kabhī tīr-e-nigāh-e-nāz ḳhālī nahīñ saktā

    koī nekī bhī aise vaqt aaḌe aa nahīñ saktī

    nasheman merā rahne do chaman par aañch gar aa.ī

    nasheman pe aa.egī chaman par aa nahīñ saktī

    haqā.eq raheñge 'najm' merī fikr hāsil

    ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ fikr-e-suḳhan uljhā nahīñ saktī

    mohabbat kam-nigahon ko nazar mein la nahin sakti

    ye bijli har KHas-o-KHashak se Takra nahin sakti

    jo kahna hai kaho haq par kabhi aanch aa nahin sakti

    koi taqat KHulus-e-fikr ko jhuTla nahin sakti

    gira kar arsh se bhi husn-e-be-parwa ne dekha hai

    koi aalam ho meri aadamiyyat ja nahin sakti

    matanat aa chuki hai un ke lahje un ki baaton mein

    wo chahen lakh chehre par matanat aa nahin sakti

    na samjho dost ki had tak kamal apni mohabbat ka

    abhi naqis hai dushman ko agar taDpa nahin sakti

    gira hun rabb-e-qibla jab bhi Thokar main ne khai hai

    meri KHuddari aisi waisi Thokar kha nahin sakti

    kabhi tir-e-nigah-e-naz KHali ja nahin sakta

    koi neki bhi aise waqt aaDe aa nahin sakti

    nasheman mera rahne do chaman par aanch gar aai

    nasheman hi pe aaegi chaman par aa nahin sakti

    haqaeq hi rahenge 'najm' meri fikr ka hasil

    KHayal-o-KHwab mein fikr-e-suKHan uljha nahin sakti

    Source:

    Mushaf-e-Taghazzul (Pg. 118)

    • Author: Taqi Abedi, Najm Aafandi
      • Publisher: Shahid Husain
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now