Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat karne walon ki dil-azari nahin karte

Zaheer Ghazipuri

mohabbat karne walon ki dil-azari nahin karte

Zaheer Ghazipuri

MORE BYZaheer Ghazipuri

    mohabbat karne vāloñ dil-āzārī nahīñ karte

    ḳhatā par sar jhukāne vaale makkārī nahīñ karte

    ham apnā āsmān-e-fan ḳhud apne saath rakhte haiñ

    kisī sham.a se ghar meñ ziyā-bārī nahīñ karte

    hameñ paanī pe chalne hunar ma.alūm hai lekin

    kisī hālat meñ ham koī adākārī nahīñ karte

    rivāyat tāzgī-e-fikr se mahrūm rah jaatī

    agar ham 'mīr'-o-'ġhālib' taraf-dārī nahīñ karte

    hamāre aslaha-ḳhānoñ meñ aksar aag lagtī hai

    magar ham kaam koī ġhair-sarkārī nahīñ karte

    janāza uTh gayā jab se yahāñ īmān-dārī

    ham apne rahbaroñ nāz-bardārī nahīñ karte

    vo registāñ ko dāvat de ke apne ghar bulāte haiñ

    kabhī jo apnī bastī meñ shajar-kārī nahīñ karte

    mohabbat karne walon ki dil-azari nahin karte

    KHata par sar jhukane wale makkari nahin karte

    hum apna aasman-e-fan KHud apne sath rakhte hain

    kisi ki shama se ghar mein ziya-bari nahin karte

    hamein pani pe chalne ka hunar malum hai lekin

    kisi haalat mein hum koi adakari nahin karte

    riwayat tazgi-e-fikr se mahrum rah jati

    agar hum 'mir'-o-'ghaalib' ki taraf-dari nahin karte

    hamare aslaha-KHanon mein aksar aag lagti hai

    magar hum kaam koi ghair-sarkari nahin karte

    janaza uTh gaya jab se yahan iman-dari ka

    hum apne rahbaron ki naz-bardari nahin karte

    wo registan ko dawat de ke apne ghar bulate hain

    kabhi jo apni basti mein shajar-kari nahin karte

    Source:

    (Pg. 71)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now