Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ki mata-e-jawedani le ke aaya hun

Darshan Singh

mohabbat ki mata-e-jawedani le ke aaya hun

Darshan Singh

MORE BYDarshan Singh

    mohabbat matā-e-jāvedānī le ke aayā huuñ

    tire qadmoñ meñ apnī zindagānī le ke aayā huuñ

    kahāñ sīm-o-guhar jin ko luTā.ūñ tere qadmoñ par

    barā-e-nazr ashkoñ ravānī le ke aayā huuñ

    tujhe jo pūchhnā ho pūchh le ai dāvar-e-mahshar

    maiñ apne saath apnī be-zabānī le ke aayā huuñ

    zamīn-o-mulk ke badle diloñ par hai nazar merī

    achhūtā ik tarīq-e-hukmarānī le ke aayā huuñ

    mire zaḳhm-e-tamannā dekh kar pahchān lo mujh ko

    tumhārī atā-karda nishānī le ke aayā huuñ

    mire ash.ār meñ muzmar haiñ lākhoñ dhaḌkaneñ dil

    maiñ ik duniyā ġham dil zabānī le ke aayā huuñ

    mohabbat naam hai betābī-e-dil ke tasalsul

    mohabbat maiñ 'darshan' ye nishānī le ke aayā huuñ

    mohabbat ki mata-e-jawedani le ke aaya hun

    tere qadmon mein apni zindagani le ke aaya hun

    kahan sim-o-guhar jin ko luTaun tere qadmon par

    bara-e-nazr ashkon ki rawani le ke aaya hun

    tujhe jo puchhna ho puchh le ai dawar-e-mahshar

    main apne sath apni be-zabani le ke aaya hun

    zamin-o-mulk ke badle dilon par hai nazar meri

    achhuta ek tariq-e-hukmarani le ke aaya hun

    mere zaKHm-e-tamanna dekh kar pahchan lo mujh ko

    tumhaari hi ata-karda nishani le ke aaya hun

    mere ashaar mein muzmar hain lakhon dhaDkanen dil ki

    main ek duniya ka gham dil ki zabani le ke aaya hun

    mohabbat nam hai betabi-e-dil ke tasalsul ka

    mohabbat ki main 'darshan' ye nishani le ke aaya hun

    Source:

    Talash-e-Noor (Pg. 64)

    • Author: Darshan Singh
      • Edition: 1980
      • Publisher: Savan Kirpal Ruhani Mission, Delhi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now