mohabbat ki ranginiyan chhoD aae
mohabbat kī rangīniyāñ chhoḌ aa.e
tire shahr meñ ik jahāñ chhoḌ aa.e
pahāḌoñ kī vo mast shādāb vaadī
jahāñ ham dil-e-naġhma-ḳhvāñ chhoḌ aa.e
vo sabza vo dariyā vo peḌoñ ke saa.e
vo gītoñ bharī bastiyāñ chhoḌ aa.e
hasīñ panghaToñ kā vo chāñdī sā paanī
vo barkhā kī rut vo samāñ chhoḌ aa.e
bahut duur ham aa ga.e us galī se
bahut duur vo āstāñ chhoḌ aa.e
bahut mehrbāñ thiiñ vo gul-posh rāheñ
magar ham unheñ mehrbāñ chhoḌ aa.e
bagūloñ kī sūrat yahāñ phir rahe haiñ
nasheman sar-e-gulsitāñ chhoḌ aa.e
ye e'jāz hai husn-e-āvārgī kā
jahāñ bhī ga.e dāstāñ chhoḌ aa.e
chale aa.e un rah-guzāroñ se 'jālib'
magar ham vahāñ qalb-o-jāñ chhoḌ aa.e
mohabbat ki ranginiyan chhoD aae
tere shahr mein ek jahan chhoD aae
pahaDon ki wo mast shadab wadi
jahan hum dil-e-naghma-KHwan chhoD aae
wo sabza wo dariya wo peDon ke sae
wo giton bhari bastiyan chhoD aae
hasin panghaTon ka wo chandi sa pani
wo barkha ki rut wo saman chhoD aae
bahut dur hum aa gae us gali se
bahut dur wo aastan chhoD aae
bahut mehrban thin wo gul-posh rahen
magar hum unhen mehrban chhoD aae
bagulon ki surat yahan phir rahe hain
nasheman sar-e-gulsitan chhoD aae
ye e'jaz hai husn-e-awargi ka
jahan bhi gae dastan chhoD aae
chale aae un rah-guzaron se 'jalib'
magar hum wahan qalb-o-jaan chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.