Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta

Mahboob Khizan

mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta

Mahboob Khizan

MORE BYMahboob Khizan

    mohabbat ko gale haar bhī karte nahīñ bantā

    kuchh aisī baat hai inkār bhī karte nahīñ bantā

    ḳhulūs-e-nāz tauhīn bhī dekhī nahīñ jaatī

    shu.ūr-e-husn ko bedār bhī karte nahīñ bantā

    tujhe ab kyā kaheñ ai mehrbāñ apnā ronā hai

    ki saarī zindagī īsār bhī karte nahīñ bantā

    sitam dekho ki us be-dard se apnī laḌā.ī hai

    jise sharminda-e-paikār bhī karte nahīñ bantā

    adā ranjīdagī parvāngī āñsū-bharī āñkheñ

    ab itnī sādgī kyā pyaar bhī karte nahīñ bantā

    javānī mehrbānī husn bhī achchhī musībat hai

    use achchhā use bīmār bhī karte nahīñ bantā

    bhañvar se bhī ghabrātā hai lekin kyā kiyā jaa.e

    tavāf-e-mauj-e-kam-raftār bhī karte nahīñ bantā

    isī dil ko bharī duniyā ke jhagḌe jhelne Thahre

    yahī dil jis ko duniyā-dār bhī karte nahīñ bantā

    jalātī hai diloñ ko sard-mehrī bhī zamāne

    savāl-e-garmī-e-bāzār bhī karte nahīñ bantā

    'ḳhizāñ' un tavajjoh aisī nā-mumkin nahīñ lekin

    zarā baat par isrār bhī karte nahīñ bantā

    mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta

    kuchh aisi baat hai inkar bhi karte nahin banta

    KHulus-e-naz ki tauhin bhi dekhi nahin jati

    shuur-e-husn ko bedar bhi karte nahin banta

    tujhe ab kya kahen ai mehrban apna hi rona hai

    ki sari zindagi isar bhi karte nahin banta

    sitam dekho ki us be-dard se apni laDai hai

    jise sharminda-e-paikar bhi karte nahin banta

    ada ranjidagi parwangi aansu-bhari aankhen

    ab itni sadgi kya pyar bhi karte nahin banta

    jawani mehrbani husn bhi achchhi musibat hai

    use achchha use bimar bhi karte nahin banta

    bhanwar se ji bhi ghabraata hai lekin kya kiya jae

    tawaf-e-mauj-e-kam-raftar bhi karte nahin banta

    isi dil ko bhari duniya ke jhagDe jhelne Thahre

    yahi dil jis ko duniya-dar bhi karte nahin banta

    jalati hai dilon ko sard-mehri bhi zamane ki

    sawal-e-garmi-e-bazar bhi karte nahin banta

    'KHizan' un ki tawajjoh aisi na-mumkin nahin lekin

    zara si baat par israr bhi karte nahin banta

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mahboob Khizan

    Mahboob Khizan

    Source:

    akeli-bastiyan (Pg. E-58)

    • Author: Mahboob Khizan
      • Edition: 1979
      • Publisher: Al-Baqariya Publications, Karachi
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now