mohabbat ko na rakkho dil ke nazuk aabginon mein
mohabbat ko na rakkho dil ke nāzuk ābgīnoñ meñ
ye aisā āb-e-zam-zam hai jise rakhte haiñ Tīnoñ meñ
samundar kā safar kaise kareñge vo safīnoñ meñ
jo buzdil Dar ke maare Duub jaate haiñ pasīnoñ meñ
baḌī tashvīsh phailī hai vatan ke tārkīnoñ meñ
unheñ miltī haiñ sau sau dhamkiyāñ do do mahīnoñ meñ
ajā.ib-ghar meñ rakhiye ye kisī qārūn kā sar hai
milā hai ye bhī āsār-e-qadīma ke dafīnoñ meñ
dil-e-gum-gashta merā un ke baTve se nikal aayā
abas DhūñDā kiye ham āsmānoñ aur zamīnoñ meñ
musallam hai janāb-e-shaiḳh kī pākīza-dāmānī
ki bin pūchhe chale jaate haiñ vo parda-nashīnoñ meñ
bigaḌtī hai kabhī qismat kabhī biivī kabhī motor
yaqīnan mushtarak hai koī sī ik chiiz tīnoñ meñ
ḳhudāvandā na jaane un tire bandoñ pe kyā guzre
nikal aate haiñ jiite jāgte chūze mashīnoñ meñ
idhar Duube udhar ubhre udhar ubhre idhar Duube
mohabbat bahr hai aur apnā maskan sab-marīnoñ meñ
ḳhudā hī laaj rakh letā hai bīmār-e-mohabbat kī
vo jab tashrīf laate haiñ to rozoñ ke mahīnoñ meñ
jinheñ iqbāl ne sīñchā thā apne ḳhuun se 'bulbul'
ham apne hal chalāne lag ga.e haiñ un zamīnoñ meñ
mohabbat ko na rakkho dil ke nazuk aabginon mein
ye aisa aab-e-zam-zam hai jise rakhte hain Tinon mein
samundar ka safar kaise karenge wo safinon mein
jo buzdil Dar ke mare Dub jate hain pasinon mein
baDi tashwish phaili hai watan ke tarkinon mein
unhen milti hain sau sau dhamkiyan do do mahinon mein
ajaib-ghar mein rakhiye ye kisi qarun ka sar hai
mila hai ye bhi aasar-e-qadima ke dafinon mein
dil-e-gum-gashta mera un ke baTwe se nikal aaya
abas DhunDa kiye hum aasmanon aur zaminon mein
musallam hai janab-e-shaiKH ki pakiza-damani
ki bin puchhe chale jate hain wo parda-nashinon mein
bigaDti hai kabhi qismat kabhi biwi kabhi motor
yaqinan mushtarak hai koi si ek chiz tinon mein
KHudawanda na jaane un tere bandon pe kya guzre
nikal aate hain jite jagte chuze mashinon mein
idhar Dube udhar ubhre udhar ubhre idhar Dube
mohabbat bahr hai aur apna maskan sab-marinon mein
KHuda hi laj rakh leta hai bimar-e-mohabbat ki
wo jab tashrif late hain to rozon ke mahinon mein
jinhen iqbaal ne sincha tha apne KHun se 'bulbul'
hum apne hal chalane lag gae hain un zaminon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.