Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mein aaram sab chahte hain

Dagh Dehlvi

mohabbat mein aaram sab chahte hain

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

  mohabbat meñ ārām sab chāhte haiñ

  magar hazrat-e-'dāġh' kab chāhte haiñ

  ḳhatā kyā hai un jo us but ko chāhā

  ḳhudā chāhtā hai to sab chāhte haiñ

  vahī un matlūb o mahbūb Thahrā

  bajā hai jo us talab chāhte haiñ

  magar ālam-e-yās meñ tañg aa kar

  ye sāmān-e-āfat ajab chāhte haiñ

  ajal duā har ghaḌī māñgte haiñ

  ġham-o-dard-o-rañj-o-ta.ab chāhte haiñ

  na tafrīh-e-āsā.ish-e-dil ḳhvāhish

  na sāmān-e-aish-o-tarab chāhte haiñ

  qayāmat bapā ho nuzūl-e-balā ho

  yahī āj-kal roz o shab chāhte haiñ

  na māshūq-e-farḳhār se un ko matlab

  na ye jām-e-bintul-inab chāhte haiñ

  na jannat hasrat na hūroñ parvā

  na koī ḳhushī sabab chāhte haiñ

  nirālī tamannā hai ahl-e-karam se

  sitam chāhte haiñ ġhazab chāhte haiñ

  na ho koī āgāh rāz-e-nihāñ se

  ḳhamoshī ko ye mohr-e-lab chāhte haiñ

  ḳhudā un chāhat se mahfūz rakkhe

  ye āzār bhī muntaḳhab chāhte haiñ

  ġham-e-ishq meñ 'dāġh' majbūr ho kar

  kabhī jo na chāhā vo ab chāhte haiñ

  mohabbat mein aaram sab chahte hain

  magar hazrat-e-'dagh' kab chahte hain

  KHata kya hai un ki jo us but ko chaha

  KHuda chahta hai to sab chahte hain

  wahi un ka matlub o mahbub Thahra

  baja hai jo us ki talab chahte hain

  magar aalam-e-yas mein tang aa kar

  ye saman-e-afat ajab chahte hain

  ajal ki dua har ghaDi mangte hain

  gham-o-dard-o-ranj-o-tab chahte hain

  na tafrih-e-asaish-e-dil ki KHwahish

  na saman-e-aish-o-tarab chahte hain

  qayamat bapa ho nuzul-e-bala ho

  yahi aaj-kal roz o shab chahte hain

  na mashuq-e-farKHar se un ko matlab

  na ye jam-e-bintul-inab chahte hain

  na jannat ki hasrat na huron ki parwa

  na koi KHushi ka sabab chahte hain

  nirali tamanna hai ahl-e-karam se

  sitam chahte hain ghazab chahte hain

  na ho koi aagah raaz-e-nihan se

  KHamoshi ko ye mohr-e-lab chahte hain

  KHuda un ki chahat se mahfuz rakkhe

  ye aazar bhi muntaKHab chahte hain

  gham-e-ishq mein 'dagh' majbur ho kar

  kabhi jo na chaha wo ab chahte hain

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  mohabbat mein aaram sab chahte hain Nomaan Shauque

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now