Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mein ek aisa bhi maqam aata hai mushkil ka

Muneer Bhopali

mohabbat mein ek aisa bhi maqam aata hai mushkil ka

Muneer Bhopali

MORE BYMuneer Bhopali

    mohabbat meñ ik aisā bhī maqām aatā hai mushkil

    jahāñ ḳhud dil ban jaatā hai dushman hastī-e-dil

    nazar kaisī ḳhayāloñ se hai ūñchā silsila dil

    pata ḳhud pūchhtā hai ishq mujh se merī manzil

    har ik karvaT pe dard-e-ishq taḌpā nahīñ jaatā

    kahāñ tak saath degī zindagī be-tābī-e-dil

    mirī āñkhoñ meñ maujeñ haiñ mirī nazroñ meñ tūfāñ hai

    safīna merā parvarda nahīñ āġhosh-e-sāhil

    mirī zauq-e-ḳhalish ik mustaqil duniyā-e-rāhat hai

    ki har ik ḳhaar pe hotā hai dhokā mujh ko manzil

    maze tanhā.iyoñ ke bhī kabhī aate haiñ mahfil meñ

    kabhī tanhā.iyāñ bhī lutf de jaatī haiñ mahfil

    pilā sāġhar nigāh-e-mast se bhī kaam le saaqī

    mujhe ehsās kuchh hone lagā hai haqq-o-bātil

    agar samjho to har qatra mohabbat kahānī hai

    nahīñ ye ashk ik paiġhām hai TuuTe hue dil

    sadā-e-shauq-e-nazzāra na sāz-e-be-niyāzī hai

    bas ik naġhma fazā meñ gūñjtā hai parda-e-dil

    tire dar par mujhe ye fitrat-e-majbūr laa.ī hai

    na jaane aaj kis duniyā meñ aalam hai mire dil

    ġham-e-pinhāñ ke parde meñ nashāt-e-kāmrānī hai

    zamāne se alag haT kar zamāna hai mire dil

    junūñ azmateñ mujh ko 'munīr' āġhosh meñ leñgī

    tavāf apnī nigāheñ kar rahī haiñ us mahfil

    mohabbat mein ek aisa bhi maqam aata hai mushkil ka

    jahan KHud dil hi ban jata hai dushman hasti-e-dil ka

    nazar kaisi KHayalon se hai uncha silsila dil ka

    pata KHud puchhta hai ishq mujh se meri manzil ka

    har ek karwaT pe dard-e-ishq ki taDpa nahin jata

    kahan tak sath degi zindagi be-tabi-e-dil ka

    meri aankhon mein maujen hain meri nazron mein tufan hai

    safina mera parwarda nahin aaghosh-e-sahil ka

    meri zauq-e-KHalish ek mustaqil duniya-e-rahat hai

    ki har ek KHar pe hota hai dhoka mujh ko manzil ka

    maze tanhaiyon ke bhi kabhi aate hain mahfil mein

    kabhi tanhaiyan bhi lutf de jati hain mahfil ka

    pila saghar nigah-e-mast se bhi kaam le saqi

    mujhe ehsas kuchh hone laga hai haqq-o-baatil ka

    agar samjho to har qatra mohabbat ki kahani hai

    nahin ye ashk ek paigham hai TuTe hue dil ka

    sada-e-shauq-e-nazzara na saz-e-be-niyazi hai

    bas ek naghma faza mein gunjta hai parda-e-dil ka

    tere dar par mujhe ye fitrat-e-majbur lai hai

    na jaane aaj kis duniya mein aalam hai mere dil ka

    gham-e-pinhan ke parde mein nashat-e-kaamrani hai

    zamane se alag haT kar zamana hai mere dil ka

    junun ki azmaten mujh ko 'munir' aaghosh mein lengi

    tawaf apni nigahen kar rahi hain us ki mahfil ka

    Source:

    Deewan-e-Muneer (Pg. 23)

    • Author: Muneer Bhopali
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now