Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mein murawwat ki hikayat ke suKHan Khaali

Inamullah Khan Yaqeen

mohabbat mein murawwat ki hikayat ke suKHan Khaali

Inamullah Khan Yaqeen

MORE BYInamullah Khan Yaqeen

    mohabbat meñ muravvat hikāyat ke suḳhan ḳhālī

    ki juuñ fānūs dil sham.a bin hai pairahan ḳhālī

    rahe kab hoñge ab tak bastiyoñ meñ naqsh shīrīñ ke

    dil apnā kis se kartā hogā yāroñ kohkan ḳhālī

    ga.ī ye kah kar aane se ḳhizāñ ke peshtar bulbul

    phir in āñkhoñ se kyūñkar dekhā jā.egā chaman ḳhālī

    muā aage jal kar sham.a se kyā ḳhuub samjhā thā

    na saktā dekh parvāna sajan se anjuman ḳhālī

    ḳhasārat hai 'yaqīñ' sarkār itnā suḳhan mat kar

    na kar in motiyoñ se juuñ sadaf apnā dahan ḳhālī

    mohabbat mein murawwat ki hikayat ke suKHan KHali

    ki jun fanus dil ki shama bin hai pairahan KHali

    rahe kab honge ab tak bastiyon mein naqsh shirin ke

    dil apna kis se karta hoga yaron kohkan KHali

    gai ye kah kar aane se KHizan ke peshtar bulbul

    phir in aankhon se kyunkar dekha jaega chaman KHali

    mua aage hi jal kar shama se kya KHub samjha tha

    na sakta dekh parwana sajan se anjuman KHali

    KHasarat hai 'yaqin' sarkar ki itna suKHan mat kar

    na kar in motiyon se jun sadaf apna dahan KHali

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now