Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat munh pe karna aur dil mein bewafai hai

Meer Soz

mohabbat munh pe karna aur dil mein bewafai hai

Meer Soz

MORE BYMeer Soz

    mohabbat muñh pe karnā aur dil meñ bevafā.ī hai

    ye ā.īna yahāñ kahtā hai kaisī āshnā.ī hai

    bhalā bosa ham us se aaj māñgeñge kisī Dhab se

    tavaqqo to nahīñ lekin ye taal.e āzmā.ī hai

    muhibboñ ko kareñ haiñ qatl dushman ko jalāte haiñ

    butoñ bhī miyāñ sāhib nirālī ḳhudā.ī hai

    ajā.ib rasm hai un dilbarān-e-dahr rab

    kisī ke saath sonā kahīñ saa.ī badhā.ī hai

    ye āshiq apne apne ashk ko tūfān kahte haiñ

    jo sach pūchho to ye gañgā hamārī khudā.ī hai

    ilāhī kyā banegī saath mere shaiḳh-o-vā.iz ko

    idhar rindī sharābī hai udhar ko pārsā.ī hai

    nahīñ ye abr-o-bārāñ 'soz' ke ahvāl ko sun kar

    falak bhī mohabbat se ye ab chhātī bhar aa.ī hai

    mohabbat munh pe karna aur dil mein bewafai hai

    ye aaina yahan kahta hai kaisi aashnai hai

    bhala bosa hum us se aaj mangenge kisi Dhab se

    tawaqqo to nahin lekin ye tale aazmai hai

    muhibbon ko karen hain qatl dushman ko jalate hain

    buton ki bhi miyan sahib nirali hi KHudai hai

    ajaib rasm hai un dilbaran-e-dahr ki ya rab

    kisi ke sath ja sona kahin sai badhai hai

    ye aashiq apne apne ashk ko tufan kahte hain

    jo sach puchho to ye ganga hamari hi khudai hai

    ilahi kya banegi sath mere shaiKH-o-waiz ko

    idhar rindi sharabi hai udhar ko parsai hai

    nahin ye abr-o-baran 'soz' ke ahwal ko sun kar

    falak ki bhi mohabbat se ye ab chhati bhar aai hai

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    mohabbat munh pe karna aur dil mein bewafai hai Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now