aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat wo maraz hai jis ka chaara ho nahin sakta

Arsh Malsiyani

mohabbat wo maraz hai jis ka chaara ho nahin sakta

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    mohabbat vo maraz hai jis chāra ho nahīñ saktā

    jigar ho ki dil zaḳhm achchhā ho nahīñ saktā

    vo naala koī naala hai jo kam ho mauj-e-tūfāñ se

    vo aañsū koī aañsū hai jo dariyā ho nahīñ saktā

    tamāshā hai ki ham us ko masīhā dam samajhte haiñ

    hamāre dard jis se mudāvā ho nahīñ saktā

    mujhe fariyād par maa.il na kar ai josh-e-nākāmī

    zamāne-bhar meñ dil raaz rusvā ho nahīñ saktā

    ajab kyā hai jo ḳhāmoshī sharh-e-ārzū kar de

    mire lab se to iz.hār-e-tamannā ho nahīñ saktā

    mubārak ho tujhī ko ye ḳhayālistān ai vaa.iz

    tirī duniyā meñ rindoñ guzāra ho nahīñ saktā

    tamāshā ho gayā hai tere jalvoñ tamāshā.ī

    koī is shaan se mahv-e-tamāshā ho nahīñ saktā

    badal sakte ho tum bigḌī huī qismat zamāne

    tumhārī ik nigāh-e-nāz se kyā ho nahīñ saktā

    mohabbat wo maraz hai jis ka chaara ho nahin sakta

    jigar ka ho ki dil ka zaKHm achchha ho nahin sakta

    wo nala koi nala hai jo kam ho mauj-e-tufan se

    wo aansu koi aansu hai jo dariya ho nahin sakta

    tamasha hai ki hum us ko masiha dam samajhte hain

    hamare dard ka jis se mudawa ho nahin sakta

    mujhe fariyaad par mail na kar ai josh-e-nakaami

    zamane-bhar mein dil ka raaz ruswa ho nahin sakta

    ajab kya hai jo KHamoshi hi sharh-e-arzu kar de

    mere lab se to izhaar-e-tamanna ho nahin sakta

    mubarak ho tujhi ko ye KHayalistan ai waiz

    teri duniya mein rindon ka guzara ho nahin sakta

    tamasha ho gaya hai tere jalwon ka tamashai

    koi is shan se mahw-e-tamasha ho nahin sakta

    badal sakte ho tum bigDi hui qismat zamane ki

    tumhaari ek nigah-e-naz se kya ho nahin sakta

    Source:

    Kulliyat-e-Arsh (Pg. 36)

    • Author: Arsh Malsiyani
      • Publisher: Ali Imran Chaudhary
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now