Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ye bata kya silsila hai

Rahman Khawar

mohabbat ye bata kya silsila hai

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    mohabbat ye batā kyā silsila hai

    ye manzil hai ki merā rāsta hai

    ab us naam dil se kyā miTānā

    jo ham ne likh diyā hai likh diyā hai

    dar-e-dil par sadā.eñ dene vaale

    chalā bhī aa ki darvāza khulā hai

    maiñ apne aap meñ gum ho gayā huuñ

    tirī āvāz jaadū bhī kyā hai

    ye kahtī hai tire hoñToñ jumbish

    ki in se aur koī boltā hai

    zamīñ hai koī mahtāb 'ḳhāvar'

    sitāra hai ki miTTī diyā hai

    mohabbat ye bata kya silsila hai

    ye manzil hai ki mera rasta hai

    ab us ka nam dil se kya miTana

    jo hum ne likh diya hai likh diya hai

    dar-e-dil par sadaen dene wale

    chala bhi aa ki darwaza khula hai

    main apne aap mein gum ho gaya hun

    teri aawaz ka jadu bhi kya hai

    ye kahti hai tere honTon ki jumbish

    ki in se aur koi bolta hai

    zamin hai ya koi mahtab 'KHawar'

    sitara hai ki miTTi ka diya hai

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 476)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now