Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbaten bhi likhi hui hain adawaten bhi likhi hui hain

Athar Saleemi

mohabbaten bhi likhi hui hain adawaten bhi likhi hui hain

Athar Saleemi

MORE BYAthar Saleemi

    mohabbateñ bhī likhī huī haiñ adāvateñ bhī likhī huī haiñ

    kitāb-e-dil meñ to jiine marne muddateñ bhī likhī huī haiñ

    barahna peḌoñ ke zāviyoñ meñ ghane añdhere uge haiñ lekin

    inhī añdheroñ meñ raushnī ibārateñ bhī likhī huī haiñ

    yahī zamīñ hai ki jis ne mujh ko mirā qātil banā diyā hai

    isī zamīñ par mire lahū shahādateñ bhī likhī huī haiñ

    hanūt chehroñ ke ā.inoñ meñ havā lahroñ ne ye bhī dekhā

    khañDar khañDar par na.e dinoñ bashārateñ bhī likhī huī haiñ

    mirī nazar meñ surāġh-e-manzil shu.ūr ban kar chamak rahā hai

    mirī jabīñ par kaḌe safar masāfateñ bhī likhī huī haiñ

    sitam ke māroñ be-hisī ko tamāshā-gāhoñ meñ laane vaalo

    nahīf jismoñ bebasī meñ baġhāvateñ bhī likhī huī haiñ

    jadīd harfoñ ke dā.eroñ meñ purānī ḳhushbū rachī huī hai

    sadā ke ruḳh par ga.ī rutoñ shabāhateñ bhī likhī huī haiñ

    zamīñ ThanDī tahoñ ke andar alaav karvaT badal rahe haiñ

    havā ke sākit pane pe 'at.har' qayāmateñ bhī likhī huī haiñ

    mohabbaten bhi likhi hui hain adawaten bhi likhi hui hain

    kitab-e-dil mein to jine marne ki muddaten bhi likhi hui hain

    barahna peDon ke zawiyon mein ghane andhere uge hain lekin

    inhi andheron mein raushni ki ibaraten bhi likhi hui hain

    yahi zamin hai ki jis ne mujh ko mera hi qatil bana diya hai

    isi zamin par mere lahu ki shahadaten bhi likhi hui hain

    hanut chehron ke aainon mein hawa ki lahron ne ye bhi dekha

    khanDar khanDar par nae dinon ki bashaaraten bhi likhi hui hain

    meri nazar mein suragh-e-manzil shuur ban kar chamak raha hai

    meri jabin par kaDe safar ki masafaten bhi likhi hui hain

    sitam ke maron ki be-hisi ko tamasha-gahon mein lane walo

    nahif jismon ki bebasi mein baghawaten bhi likhi hui hain

    jadid harfon ke daeron mein purani KHushbu rachi hui hai

    sada ke ruKH par gai ruton ki shabahaten bhi likhi hui hain

    zamin ki ThanDi tahon ke andar alaw karwaT badal rahe hain

    hawa ke sakit pane pe 'athar' qayamaten bhi likhi hui hain

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 562)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
    • Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now