mohabbaton ke maze tu ne kuchh kamae nahin
mohabbatoñ ke maze tū ne kuchh kamā.e nahīñ
nishān hijr ke tere badan pe aa.e nahīñ
bas ek guzrā ta'alluq nibhāne baiThe haiñ
vagarna donoñ ke cup meñ zarā bhī chaa.e nahīñ
hazār baar mulāqāt aa.ine se huī
vo rakh-rakhāv ke mausam palaT ke aa.e nahīñ
ka.ī dinoñ se mire ghar meñ din nahīñ niklā
ka.ī dinoñ se mire zaḳhm muskurā.e nahīñ
ye ehtiyāt bhī bartī ga.ī ta'alluq meñ
ki donoñ saath rahe aur diye bujhā.e nahīñ
mohabbaton ke maze tu ne kuchh kamae nahin
nishan hijr ke tere badan pe aae nahin
bas ek guzra ta'alluq nibhane baiThe hain
wagarna donon ke cup mein zara bhi chae nahin
hazar bar mulaqat aaine se hui
wo rakh-rakhaw ke mausam palaT ke aae nahin
kai dinon se mere ghar mein din nahin nikla
kai dinon se mere zaKHm muskurae nahin
ye ehtiyat bhi barti gai ta'alluq mein
ki donon sath rahe aur diye bujhae nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.