Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbaton ki wusaten KHayal us se puchhna

Ashfaq Ahmad Saim

mohabbaton ki wusaten KHayal us se puchhna

Ashfaq Ahmad Saim

MORE BYAshfaq Ahmad Saim

    mohabbatoñ vus'ateñ ḳhayāl us se pūchhnā

    phir us ke baa'd daf.atan zavāl us se pūchhnā

    hañsānā us ko pahle tum mohabbatoñ ke zikr se

    hañsī meñ ġham ko DhūñDhnā malāl us se pūchhnā

    nazar bachā ke dekhnā vo kapkapāte hoñT tum

    mirī ḳhudī pe jab koī savāl us se pūchhnā

    vo kah rahī thī tum se to bichhaḌnā bhī muhāl hai

    kiyā hai kis tarah se ye kamāl us se pūchhnā

    diyā thā pichhle saal us ko ek tohfa pyaar se

    vo ab bhī oḌhtī hai vo shawl us se pūchhnā

    kabhī jo us ke shahr meñ uThā savāl husn par

    zamāna us detā thā misāl us se pūchhnā

    vo pahlā pahlā 'ishq thā use ḳhabar na ho sakī

    huā hai jiinā kis tarah muhāl us se pūchhnā

    thiiñ āñsuoñ bārisheñ bhī qahqahoñ ke darmiyāñ

    vo hijr us se pūchhnā visāl us se pūchhnā

    vo laakh Taal de magar vo laakh muskurā.e bhī

    jo haal dil ho rahā vo haal us se pūchhnā

    mohabbaton ki wus'aten KHayal us se puchhna

    phir us ke ba'd dafatan zawal us se puchhna

    hansana us ko pahle tum mohabbaton ke zikr se

    hansi mein gham ko DhunDhna malal us se puchhna

    nazar bacha ke dekhna wo kapkapate honT tum

    meri KHudi pe jab koi sawal us se puchhna

    wo kah rahi thi tum se to bichhaDna bhi muhaal hai

    kiya hai kis tarah se ye kamal us se puchhna

    diya tha pichhle sal us ko ek tohfa pyar se

    wo ab bhi oDhti hai na wo shawl us se puchhna

    kabhi jo us ke shahr mein uTha sawal husn par

    zamana us ki deta tha misal us se puchhna

    wo pahla pahla 'ishq tha use KHabar na ho saki

    hua hai jina kis tarah muhaal us se puchhna

    thin aansuon ki barishen bhi qahqahon ke darmiyan

    wo hijr us se puchhna visal us se puchhna

    wo lakh Tal de magar wo lakh muskurae bhi

    jo haal dil ka ho raha wo haal us se puchhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now