Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbaton ko kahin aur pal kar dekho

Ahmad Shanas

mohabbaton ko kahin aur pal kar dekho

Ahmad Shanas

MORE BYAhmad Shanas

    mohabbatoñ ko kahīñ aur paal kar dekho

    matā-e-jāñ ko badan se nikāl kar dekho

    badal ke dekho kabhī nisbatoñ duniyā ko

    badan ko ruuh ke ḳhāne meñ Daal kar dekho

    suno use to samā.at se māvarā ho kar

    jo dekhnā ho to āñkheñ nikāl kar dekho

    yaqīn dasht se phūTegā āb-e-jū tarah

    ki harf-e-''lā'' gavāhī bahāl kar dekho

    nafas nafas hai yahāñ maqbara aqīdat

    ye maqbaroñ jahāñ pā.emāl kar dekho

    isī havā meñ mohabbat diip jaltā hai

    isī jahāñ ko jahān-e-visāl kar dekho

    vo sañg de to harārat nichoḌ lo apnī

    jo phuul de to nigāh-e-kamāl kar dekho

    phir us ke ba.ad koī Dar nahīñ talātum

    us ek buuñd ke ġham ko vishāl kar dekho

    badan pyaas bhī ik māvarā kahānī hai

    har ek buuñd ko dariyā ḳhayāl kar dekho

    palaT ke ā.eñge sāvan ke rañg ā.ankhoñ meñ

    tum apne-āp se rishta bahāl kar dekho

    vo boltā hai pahāḌoñ oT se aksar

    kisī pahāḌ se us savāl kar dekho

    ye raaz aur kahāñ tak hameñ nibhānā hai

    kabhī to raat meñ sūraj nikāl kar dekho

    tum apne gauhar-e-yaktā ko is tarah DhūñDo

    ki ḳhud ko be-sar-o-sāmāñ ḳhayāl kar dekho

    jo dekhnā ho kabhī dostoñ dil 'ahmad'

    khare usuul pattā uchhāl kar dekho

    mohabbaton ko kahin aur pal kar dekho

    mata-e-jaan ko badan se nikal kar dekho

    badal ke dekho kabhi nisbaton ki duniya ko

    badan ko ruh ke KHane mein Dal kar dekho

    suno use to samaat se mawara ho kar

    jo dekhna ho to aankhen nikal kar dekho

    yaqin dasht se phuTega aab-e-ju ki tarah

    ki harf-e-la ki gawahi bahaal kar dekho

    nafas nafas hai yahan maqbara aqidat ka

    ye maqbaron ka jahan paemal kar dekho

    isi hawa mein mohabbat ka dip jalta hai

    isi jahan ko jahan-e-visal kar dekho

    wo sang de to hararat nichoD lo apni

    jo phul de to nigah-e-kamal kar dekho

    phir us ke baad koi Dar nahin talatum ka

    us ek bund ke gham ko wishaal kar dekho

    badan ki pyas bhi ek mawara kahani hai

    har ek bund ko dariya KHayal kar dekho

    palaT ke aaenge sawan ke rang aaankhon mein

    tum apne-ap se rishta bahaal kar dekho

    wo bolta hai pahaDon ki oT se aksar

    kisi pahaD se us ka sawal kar dekho

    ye raaz aur kahan tak hamein nibhana hai

    kabhi to raat mein suraj nikal kar dekho

    tum apne gauhar-e-yakta ko is tarah DhunDo

    ki KHud ko be-sar-o-saman KHayal kar dekho

    jo dekhna ho kabhi doston ka dil 'ahmad'

    khare usul ka patta uchhaal kar dekho

    Source:

    Salsal (Pg. 57)

    • Author: Ahmad Shanas
      • Edition: 2013
      • Publisher: Rahbar Book Service
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now