Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin

Nikhat Barelvi

mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin

Nikhat Barelvi

MORE BYNikhat Barelvi

    mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye boltā nahīñ

    ai dil-e-be-talab! batā kyā koī mudda.ā nahīñ

    ahl-e-junūñ ko ab ke bhī izn-e-junūñ milā nahīñ

    ab ke baras bhī baaġh meñ phuul koī khilā nahīñ

    apnā qusūr hai to ye, aur koī ḳhatā nahīñ

    ham ne faqīh-e-shahr ko maanā kabhī ḳhudā nahīñ

    ye to huā ki raushnī aur bhī kuchh bhaḌak uThī

    tez havā ke bāvajūd dil diyā bujhā nahīñ

    rāh-e-talab meñ aaj tak ahl-e-talab qāfila

    yuuñ ravāñ-davāñ rahā aur kabhī thakā nahīñ

    kis se talab kareñ bhalā ḳhuun apne ḳhūñ-bahā

    apne alāva aur koī apnā harīf thā nahīñ

    dil ajiib rañg hai aur vo shaḳhs sañg hai

    tā-ba-nigāh duur tak jis koī patā nahīñ

    mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin

    ai dil-e-be-talab! bata kya koi muddaa nahin

    ahl-e-junun ko ab ke bhi izn-e-junun mila nahin

    ab ke baras bhi bagh mein phul koi khila nahin

    apna qusur hai to ye, aur koi KHata nahin

    hum ne faqih-e-shahr ko mana kabhi KHuda nahin

    ye to hua ki raushni aur bhi kuchh bhaDak uThi

    tez hawa ke bawajud dil ka diya bujha nahin

    rah-e-talab mein aaj tak ahl-e-talab ka qafila

    yun hi rawan-dawan raha aur kabhi thaka nahin

    kis se talab karen bhala KHun ka apne KHun-baha

    apne alawa aur koi apna harif tha nahin

    dil ka ajib rang hai aur wo shaKHs sang hai

    ta-ba-nigah dur tak jis ka koi pata nahin

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 307)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now