Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohtat o hoshiyar to be-intiha hun main

Abdul Hamid Adam

mohtat o hoshiyar to be-intiha hun main

Abdul Hamid Adam

MORE BYAbdul Hamid Adam

    mohtāt o hoshiyār to be-intihā huuñ maiñ

    amdan tirā fareb-e-nazar khā gayā huuñ maiñ

    kyā ye subūt kam nahīñ merī vafāoñ

    maiñ aap kah rahā huuñ bahut bevafā huuñ maiñ

    aise girā huuñ terī ḳhudā.ī ke sāmne

    mahsūs ho rahā hai ḳhudā ho gayā huuñ maiñ

    mere sukūt ko mirī āvāz mat samajh

    is pairahan meñ tere sitam sadā huuñ maiñ

    ye intihā hai mere adab ki ai 'adam'

    us vajūd ho ke bhī us se judā huuñ maiñ

    mohtat o hoshiyar to be-intiha hun main

    amdan tera fareb-e-nazar kha gaya hun main

    kya ye subut kam nahin meri wafaon ka

    main aap kah raha hun bahut bewafa hun main

    aise gira hun teri KHudai ke samne

    mahsus ho raha hai KHuda ho gaya hun main

    mere sukut ko meri aawaz mat samajh

    is pairahan mein tere sitam ki sada hun main

    ye intiha hai mere adab ki ki ai 'adam'

    us ka wajud ho ke bhi us se juda hun main

    Source:

    Kulliyat-e-Adm (Pg. 483)

    • Author: Khwaja Mohammad Zakariya
      • Edition: 2009
      • Publisher: Alhamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now