Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mom ki tarah pighal kar dekho

Rafiquzzaman

mom ki tarah pighal kar dekho

Rafiquzzaman

MORE BYRafiquzzaman

    mom tarah pighal kar dekho

    phir kaḌī dhuup manzar dekho

    karb karb hai sannāTe

    jhāñk kar tum mire andar dekho

    niiñd in palkoñ se katrā.egī

    aag hai vaqt bistar dekho

    aa ga.e ho to mire shahr meñ bhī

    aadmī naam ḳhanjar dekho

    koī shīshoñ masīhā nahīñ

    duur tak dekho to patthar dekho

    silsila maujoñ jaarī hai yahāñ

    aao āñkhoñ meñ samundar dekho

    koī mausam ho mire ghar meñ 'rafīq'

    vahī sahrāoñ manzar dekho

    mom ki tarah pighal kar dekho

    phir kaDi dhup ka manzar dekho

    karb hi karb hai sannaTe ka

    jhank kar tum mere andar dekho

    nind in palkon se katraegi

    aag hai waqt ka bistar dekho

    aa gae ho to mere shahr mein bhi

    aadmi nam ka KHanjar dekho

    koi shishon ka masiha hi nahin

    dur tak dekho to patthar dekho

    silsila maujon ka jari hai yahan

    aao aankhon mein samundar dekho

    koi mausam ho mere ghar mein 'rafiq'

    wahi sahraon ka manzar dekho

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 643)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now