Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddat se DhunDti hai kisi ki nazar mujhe

Shaad amritsarii

muddat se DhunDti hai kisi ki nazar mujhe

Shaad amritsarii

MORE BYShaad amritsarii

    muddat se DhūñDtī hai kisī nazar mujhe

    maiñ kis maqām par huuñ nahīñ hai ḳhabar mujhe

    āvārgī uḌaa.e phirī misl-e-bū-e-gul

    koī pukārtā rahā umr bhar mujhe

    yuuñ rahā huuñ jaise na ā.ūñgā phir kabhī

    muḌ muḌ ke dekhtī hai tirī rahguzar mujhe

    kyā jaane kis ḳhayāl se chehra damak uThā

    maiñ chāra-gar ko dekhtā huuñ chāra-gar mujhe

    ahd-e-ḳhizāñ bahār rut naam haiñ faqat

    kyā baat kah ga.ī hai nasīm-e-sahar mujhe

    manzil pe aa ke 'shād' ajab hādisa huā

    maiñ ham-safar ko bhuul gayā ham-safar mujhe

    muddat se DhunDti hai kisi ki nazar mujhe

    main kis maqam par hun nahin hai KHabar mujhe

    aawargi uDae phiri misl-e-bu-e-gul

    koi pukarta hi raha umr bhar mujhe

    yun ja raha hun jaise na aaunga phir kabhi

    muD muD ke dekhti hai teri rahguzar mujhe

    kya jaane kis KHayal se chehra damak uTha

    main chaara-gar ko dekhta hun chaara-gar mujhe

    ahd-e-KHizan bahaar ki rut nam hain faqat

    kya baat kah gai hai nasim-e-sahar mujhe

    manzil pe aa ke 'shad' ajab hadisa hua

    main ham-safar ko bhul gaya ham-safar mujhe

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 229)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now