Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddaton baad jo hum shahr mein kal aae hain

Rakesh Dilbar

muddaton baad jo hum shahr mein kal aae hain

Rakesh Dilbar

MORE BYRakesh Dilbar

    muddatoñ baad jo ham shahr meñ kal aa.e haiñ

    ḳhair-maqdam se bhare radd-e-amal aa.e haiñ

    kyā gunahgāroñ fihrist hai aane vaalī

    kis liye aap peshānī pe bal aa.e haiñ

    vasl vasl hai ab hijr jahāñ likkhā thā

    qissa-e-ishq unvān badal aa.e haiñ

    sab ko ye manzar-e-āseb dikhāyā kis ne

    aaj kal sab ke dimāġhoñ meñ ḳhalal aa.e haiñ

    pīchhā karte hue ham ek ġhazal kal raat

    'mīr' dillī se punjab nikal aa.e haiñ

    us ko ab karnā ho jo tark-e-ta.alluq kar le

    ham malāl-e-dil-e-betāb ugal aa.e haiñ

    hazrat-e-qais haiñ ham-zād hamāre 'dilbar'

    ham se milne ke liye pahle pahal aa.e haiñ

    muddaton baad jo hum shahr mein kal aae hain

    KHair-maqdam se bhare radd-e-amal aae hain

    kya gunahgaron ki fihrist hai aane wali

    kis liye aap ki peshani pe bal aae hain

    wasl hi wasl hai ab hijr jahan likkha tha

    qissa-e-ishq ka unwan badal aae hain

    sab ko ye manzar-e-aseb dikhaya kis ne

    aaj kal sab ke dimaghon mein KHalal aae hain

    pichha karte hue hum ek ghazal ka kal raat

    'mir' ki dilli se punjab nikal aae hain

    us ko ab karna ho jo tark-e-talluq kar le

    hum malal-e-dil-e-betab ugal aae hain

    hazrat-e-qais hain ham-zad hamare 'dilbar'

    hum se milne ke liye pahle pahal aae hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now