Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddaton mein ghar hamare aaj yar aa hi gaya

Siddiq ahmad Nizami

muddaton mein ghar hamare aaj yar aa hi gaya

Siddiq ahmad Nizami

MORE BYSiddiq ahmad Nizami

    Interesting Fact

    1960

    muddatoñ meñ ghar hamāre aaj yaar aa gayā

    zulm kartā thā magar zālim ko pyaar aa gayā

    hijr rāteñ kaTīñ taare gine jaagā kiye

    vasl ke lamhe mile āḳhir qarār aa gayā

    vahm the merī taraf se bad-gumānī thī unheñ

    merī fitrat dekh ke ab e'tibār aa gayā

    maiñ ne maanā aarzī haiñ vasl ghaḌiyāñ magar

    chand lamhoñ ke liye daur-e-bahār aa gayā

    ham ko piine se ġharaz kyā ye sharāb-e-zāhirī

    in nazreñ jab uThīñ mujh ko ḳhumār aa gayā

    ai 'nizāmī' daf.atan un nigāheñ uTh ga.iiñ

    pyaar vo karte na the be-iḳhtiyār aa gayā

    muddaton mein ghar hamare aaj yar aa hi gaya

    zulm karta tha magar zalim ko pyar aa hi gaya

    hijr ki raaten kaTin tare gine jaga kiye

    wasl ke lamhe mile aaKHir qarar aa hi gaya

    wahm the meri taraf se bad-gumani thi unhen

    meri fitrat dekh ke ab e'tibar aa hi gaya

    main ne mana aarzi hain wasl ki ghaDiyan magar

    chand lamhon ke liye daur-e-bahaar aa hi gaya

    hum ko pine se gharaz kya ye sharab-e-zahiri

    in ki nazren jab uThin mujh ko KHumar aa hi gaya

    ai 'nizami' dafatan un ki nigahen uTh gain

    pyar wo karte na the be-iKHtiyar aa hi gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now