Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe

Adeem Hashmi

mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe

Adeem Hashmi

MORE BYAdeem Hashmi

    mufāhamat na sikhā jabr-e-nāravā se mujhe

    maiñ sar-ba-kaf huuñ laḌā de kisī balā se mujhe

    zabāñ ne jism kuchh zahr to ugal Daalā

    bahut sukūn milā talḳhī-e-navā se mujhe

    rachā huā hai badan meñ abhī surūr-e-gunāh

    abhī to ḳhauf nahīñ aa.egā sazā se mujhe

    maiñ ḳhaak se huuñ mujhe ḳhaak jazb kar legī

    agarche saañs mile umr bhar havā se mujhe

    ġhizā isī meñ mirī maiñ isī zamīñ ġhizā

    sadā phir aatī hai kyuuñ parda-e-ḳhalā se mujhe

    maiñ rahā huuñ abhī ai zamīn-e-ādam-ḳhor

    abhī to dekh na itnī ishtihā se mujhe

    bikhar chukā huuñ maiñ ab mujh ko mujtam.a kar le

    ab sameT bhī apnī kisī sadā se mujhe

    maiñ mar rahā huuñ phir aa.e sadā-e-kun-fayakūñ

    banāyā jaa.e miTā ke phir ibtidā se mujhe

    maiñ sar-ba-sajda huuñ ai 'shimr' mujh ko qatl bhī kar

    rihā.ī de bhī ab is ahd-e-karbalā se mujhe

    maiñ kuchh nahīñ huuñ to phir kyuuñ mujhe banāyā gayā

    ye pūchhne ijāzat to ho ḳhudā se mujhe

    maiñ reza reza badan uThā rahā huuñ 'adīm'

    vo toḌ to gayā apnī iltijā se mujhe

    mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe

    main sar-ba-kaf hun laDa de kisi bala se mujhe

    zaban ne jism ka kuchh zahr to ugal Dala

    bahut sukun mila talKHi-e-nawa se mujhe

    racha hua hai badan mein abhi surur-e-gunah

    abhi to KHauf nahin aaega saza se mujhe

    main KHak se hun mujhe KHak jazb kar legi

    agarche sans mile umr bhar hawa se mujhe

    ghiza isi mein meri main isi zamin ki ghiza

    sada phir aati hai kyun parda-e-KHala se mujhe

    main ji raha hun abhi ai zamin-e-adam-KHor

    abhi to dekh na tu itni ishtiha se mujhe

    bikhar chuka hun main ab mujh ko mujtama kar le

    tu ab sameT bhi apni kisi sada se mujhe

    main mar raha hun phir aae sada-e-kun-fayakun

    banaya jae miTa ke phir ibtida se mujhe

    main sar-ba-sajda hun ai 'shimr' mujh ko qatl bhi kar

    rihai de bhi ab is ahd-e-karbala se mujhe

    main kuchh nahin hun to phir kyun mujhe banaya gaya

    ye puchhne ki ijazat to ho KHuda se mujhe

    main reza reza badan ka uTha raha hun 'adim'

    wo toD hi to gaya apni iltija se mujhe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe Nomaan Shauque

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 608)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now