Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muhafiz ho chaman ke tum to phir fikr-o-nazar rakh lo

Nihal Aatish

muhafiz ho chaman ke tum to phir fikr-o-nazar rakh lo

Nihal Aatish

MORE BYNihal Aatish

    muhāfiz ho chaman ke tum to phir fikr-o-nazar rakh lo

    lahū gar zarūrat ho to kuchh ḳhūn-e-jigar rakh lo

    husūl-e-ārzū meñ manzileñ dushvār hotī haiñ

    agar sahrā se guzro to samundar ḳhabar rakh lo

    tan-e-nāzuk aur us pe yuuñ ḳhirām-e-nāz se chalnā

    ye shahr-e-sang hai patthar se bachne hunar rakh lo

    kisī zaat pe uñglī uThāne se zarā pahle

    zarā ik aa.ina shaffāf bhī zer-e-nazar rakh lo

    havas har gaam pe madd-e-muqābil hogī ai ātish

    batau-e-rahnumā aql-o-ḳhirad har gaam pe rakh lo

    muhafiz ho chaman ke tum to phir fikr-o-nazar rakh lo

    lahu ki gar zarurat ho to kuchh KHun-e-jigar rakh lo

    husul-e-arzu mein manzilen dushwar hoti hain

    agar sahra se guzro to samundar ki KHabar rakh lo

    tan-e-nazuk aur us pe yun KHiram-e-naz se chalna

    ye shahr-e-sang hai patthar se bachne ka hunar rakh lo

    kisi ki zat pe ungli uThane se zara pahle

    zara ek aaina shaffaf bhi zer-e-nazar rakh lo

    hawas har gam pe madd-e-muqabil hogi ai aatish

    batau-e-rahnuma aql-o-KHirad har gam pe rakh lo

    Source:

    (Pg. 54)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now