aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko be-KHwabi ki Tahni par sisakte dekhta rahta hai wo

Nisar Nasik

mujhko be-KHwabi ki Tahni par sisakte dekhta rahta hai wo

Nisar Nasik

MORE BYNisar Nasik

    mujh ko be-ḳhvābī Tahnī par sisakte dekhtā rahtā hai vo

    apnī be-dardiyoñ ko yuuñ mahakte dekhtā rahtā hai vo

    sūrat-e-mahtāb rahtā hai mire sar par safar ke saath saath

    mujh ko sahrā udāsī meñ bhaTakte rahtā hai vo

    peḌ sūrat khaḌā rahtā hai merī mauj sarhad ke paas

    mere sar par dhuup ke neze chamakte dekhtā rahtā hai vo

    raat thak kar aan girtā hai mire jalte badan aañch par

    apne aañsū mere gāloñ par Dhalakte dekhtā rahtā hai vo

    maiñ vo bosīda pairāhan huuñ jo pahnā gayā thā ek baar

    mujh ko mahrūmī khūñTī par laTakte dekhtā rahtā hai vo

    merī majbūriyoñ ke zikr se 'nāsik' rulātā hai mujhe

    sāmne apne na.e jugnū damakte dekhtā rahtā hai vo

    mujh ko be-KHwabi ki Tahni par sisakte dekhta rahta hai wo

    apni hi be-dardiyon ko yun mahakte dekhta rahta hai wo

    surat-e-mahtab rahta hai mere sar par safar ke sath sath

    mujh ko sahra ki udasi mein bhaTakte rahta hai wo

    peD ki surat khaDa rahta hai meri mauj ki sarhad ke pas

    mere sar par dhup ke neze chamakte dekhta rahta hai wo

    raat thak kar aan girta hai mere jalte badan ki aanch par

    apne aansu mere galon par Dhalakte dekhta rahta hai wo

    main wo bosida sa pairahan hun jo pahna gaya tha ek bar

    mujh ko mahrumi ki khunTi par laTakte dekhta rahta hai wo

    meri hi majburiyon ke zikr se 'nasik' rulata hai mujhe

    samne apne nae jugnu damakte dekhta rahta hai wo

    Source:

    shab khuun (50) (rekhta website) (Pg. 68)

      • Edition: 1970
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now