mujhko bhi jalwa dikha malik tu koh-e-tur ka
mujh ko bhī jalva dikhā mālik tū koh-e-tūr kā
maanā maiñ muusā nahīñ 'āshiq huuñ tere nuur kā
kab parakh kar paayā hai ahl-e-nazar kī ye jagat
vāqi'a ik yaad aatā hai hameñ mansūr kā
be-diloñ kā daur hai masrūf ḳhud meñ haiñ sabhī
kaun suntā hai miyāñ haal ab dil-e-ranjūr kā
kyā bharosa kījiye ab zindagī kā dosto
dil huā hai āshnā jab qātil-e-maġhrūr kā
rāste kī bhiiḌ meñ mat āñknā yaaro use
dostoñ 'rohit' musāfir hai baḌe hī duur kā
mujh ko bhi jalwa dikha malik tu koh-e-tur ka
mana main musa nahin 'ashiq hun tere nur ka
kab parakh kar paya hai ahl-e-nazar ki ye jagat
waqi'a ek yaad aata hai hamein mansur ka
be-dilon ka daur hai masruf KHud mein hain sabhi
kaun sunta hai miyan haal ab dil-e-ranjur ka
kya bharosa kijiye ab zindagi ka dosto
dil hua hai aashna jab qatil-e-maghrur ka
raste ki bhiD mein mat aankna yaro use
doston 'rohit' musafir hai baDe hi dur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.