Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko duniya ki tamanna hai na din ka lalach

Parveen Umm-e-Mushtaq

mujhko duniya ki tamanna hai na din ka lalach

Parveen Umm-e-Mushtaq

MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq

    mujh ko duniyā tamannā hai na diiñ lālach

    haa.e lālach hai to ik māh-jabīñ lālach

    ishq-bāzī pe sunā mujh ko malāmat na karo

    haif hai jis ko na ho tum se hasīñ lālach

    hālat-e-qalb sar-e-bazm batā.ūñ kyūñkar

    parda-e-dil meñ hai ik parda-nashīñ lālach

    jab yahīñ taish meñ guzre to vahāñ kyā ummīd

    na rahā is liye ham ko to kahīñ lālach

    boriyā taḳht-e-sulaimāñ se kahīñ behtar hai

    ham ġharīboñ ko nahīñ tāj-o-nagīñ lālach

    na maiñ duniyā talabgār na uqbā havas

    āsmānoñ tamannā na zamīñ lālach

    dil bhī do jaan bhī do zar bhī do us ko 'parvīñ'

    baḌh gayā sab se mire māh-jabīñ lālach

    mujh ko duniya ki tamanna hai na din ka lalach

    hae lalach hai to ek mah-jabin ka lalach

    ishq-bazi pe suna mujh ko malamat na karo

    haif hai jis ko na ho tum se hasin ka lalach

    haalat-e-qalb sar-e-bazm bataun kyunkar

    parda-e-dil mein hai ek parda-nashin ka lalach

    jab yahin taish mein guzre to wahan kya ummid

    na raha is liye hum ko to kahin ka lalach

    boriya taKHt-e-sulaiman se kahin behtar hai

    hum gharibon ko nahin taj-o-nagin ka lalach

    na main duniya ka talabgar na uqba ki hawas

    aasmanon ki tamanna na zamin ka lalach

    dil bhi do jaan bhi do zar bhi do us ko 'parwin'

    baDh gaya sab se mere mah-jabin ka lalach

    Source:

    Deewan-e-parveen (Pg. ebook-79 page-76)

    • Author: Parveen Umm-e-Mushtaq
      • Publisher: Azizi Press
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now