Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko koi bhi sila milne mein dushwari na thi

Hasan Naim

mujhko koi bhi sila milne mein dushwari na thi

Hasan Naim

MORE BYHasan Naim

    mujh ko koī bhī sila milne meñ dushvārī na thī

    sab hunar aate the lekin 'aql se yaarī na thī

    jin dinoñ iḳhlās meñ thoḌī 'ayyārī na thī

    husn ke darbār meñ sābit vafādārī na thī

    sar-kashī ke ahd-nāmoñ hifāzat ke liye

    mere qalb-o-jāñ se behtar koī almārī na thī

    jin usūloñ ke liye jiinā bahut mushkil huā

    un ḳhātir jaan de dene meñ dushvārī na thī

    husn vo 'ilāqa thā jahāñ sab kuchh milā

    'ishq apnī alag koī zamīñ-dārī na thī

    sab pareshāñ haiñ ki āḳhir kis vabā meñ vo mire

    jin ko ġhurbat ke 'alāva koī bīmārī na thī

    kis tarah bād-e-fanā se maiñ bachā letā use

    us ġhazal paikar meñ koī fan chingārī na thī

    roz ik muuzī ko neze par uThātā thā 'na'īm'

    inqilābī quvvatoñ jab samajhdārī na thī

    mujh ko koi bhi sila milne mein dushwari na thi

    sab hunar aate the lekin 'aql se yari na thi

    jin dinon iKHlas mein thoDi si 'ayyari na thi

    husn ke darbar mein sabit wafadari na thi

    sar-kashi ke ahd-namon ki hifazat ke liye

    mere qalb-o-jaan se behtar koi almari na thi

    jin usulon ke liye jina bahut mushkil hua

    un ki KHatir jaan de dene mein dushwari na thi

    husn hi ka wo 'ilaqa tha jahan sab kuchh mila

    'ishq ki apni alag koi zamin-dari na thi

    sab pareshan hain ki aaKHir kis waba mein wo mere

    jin ko ghurbat ke 'alawa koi bimari na thi

    kis tarah baad-e-fana se main bacha leta use

    us ghazal paikar mein koi fan ki chingari na thi

    roz ek muzi ko neze par uThata tha 'na'im'

    inqilabi quwwaton ki jab samajhdari na thi

    Source:

    Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 214)

    • Author: Ahmad Kafeel
      • Edition: 2006
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now