Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko koi gham-o-KHushi hi nahin

Zubair Alam

mujhko koi gham-o-KHushi hi nahin

Zubair Alam

MORE BYZubair Alam

    mujh ko koī ġham-o-ḳhushī nahīñ

    kyā mirī koī zindagī nahīñ

    jab duā.eñ qubūl hone lagīñ

    tab se ye lutf-e-bandagī nahīñ

    shauq se dekhne ga.e the tuur

    aur ḳhudā pe nazar Tikī nahīñ

    haath un ho haath meñ likkhā

    aisī qismat merī likhī nahīñ

    maut bar-haq samajh liyā jis ne

    ġham use koī dā.imī nahīñ

    sab barābar savāb paate haiñ

    koī avval āḳhirī nahīñ

    mujh ko koi gham-o-KHushi hi nahin

    kya meri koi zindagi hi nahin

    jab duaen qubul hone lagin

    tab se ye lutf-e-bandagi hi nahin

    shauq se dekhne gae the tur

    aur KHuda pe nazar Tiki hi nahin

    hath un ka ho hath mein likkha

    aisi qismat meri likhi hi nahin

    maut bar-haq samajh liya jis ne

    gham use koi daimi hi nahin

    sab barabar sawab pate hain

    koi awwal ya aaKHiri hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now