Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko lagta hai wo wali ki tarah

Ahmed Arsalan

mujhko lagta hai wo wali ki tarah

Ahmed Arsalan

MORE BYAhmed Arsalan

    mujh ko lagtā hai vo valī tarah

    us bāteñ haiñ rahbarī tarah

    itr meñ Duubī us ḳhushbū thī

    dil meñ utrā jo chāshnī tarah

    haath joḌe haiñ kyoñ ḳhudā jaane

    hai adā us ājizī tarah

    hai ajab lahja un faqīroñ

    vo nahīñ lagte aadmī tarah

    tīrgī meñ bhī vo chamaktā hai

    husn us hai raushnī tarah

    us ne begāna jab kahā mujh ko

    maiñ chalā aaya ajnabī tarah

    kyā huā us ko phir ḳhudā jaane

    vo mahaktā thā ik kalī tarah

    ik qalandar ko jāntā huuñ maiñ

    hai sulūk us sādgī tarah

    dekhte the vo sab tamāshā mirā

    bah rahā thā maiñ jab nadī tarah

    mujh meñ aisā hai kyā batā 'ahmad'

    jo paḌhtā hai shā.erī tarah

    mujh ko lagta hai wo wali ki tarah

    us ki baaten hain rahbari ki tarah

    itr mein Dubi us ki KHushbu thi

    dil mein utra jo chashni ki tarah

    hath joDe hain kyon KHuda jaane

    hai ada us ki aajizi ki tarah

    hai ajab lahja un faqiron ka

    wo nahin lagte aadmi ki tarah

    tirgi mein bhi wo chamakta hai

    husn us ka hai raushni ki tarah

    us ne begana jab kaha mujh ko

    main chala aaya ajnabi ki tarah

    kya hua us ko phir KHuda jaane

    wo mahakta tha ek kali ki tarah

    ek qalandar ko jaanta hun main

    hai suluk us ka sadgi ki tarah

    dekhte the wo sab tamasha mera

    bah raha tha main jab nadi ki tarah

    mujh mein aisa hai kya bata 'ahmad'

    jo tu paDhta hai shaeri ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now