Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko lena hai tere rang-e-hina ka bosa

Riyaz Khairabadi

mujhko lena hai tere rang-e-hina ka bosa

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    mujh ko lenā hai tire rañg-e-hinā bosa

    dast-e-rañgīñ mile kaf-e-pā bosa

    rañg uḌ jaa.e jo minqār-e-anā dil chhū le

    hai garāñ gul ko lab-e-mauj-e-sabā bosa

    chūmtā haath maiñ saaqī ke adab maane thā

    le liyā jām-e-mai-e-hosh-rubā bosa

    bijlī har lahar se paidā ho tire kūche meñ

    le mirā har nafas-e-garm havā bosa

    maiñ vo sāġhar nahīñ aa.e kabhī lab tak jo 'riyāz'

    kis ko miltā hai tire rañg-e-hinā bosa

    mujh ko lena hai tere rang-e-hina ka bosa

    dast-e-rangin ka mile ya kaf-e-pa ka bosa

    rang uD jae jo minqar-e-ana dil chhu le

    hai garan gul ko lab-e-mauj-e-saba ka bosa

    chumta hath main saqi ke adab mane tha

    le liya jam-e-mai-e-hosh-ruba ka bosa

    bijli har lahar se paida ho tere kuche mein

    le mera har nafas-e-garm hawa ka bosa

    main wo saghar nahin aae kabhi lab tak jo 'riyaz'

    kis ko milta hai tere rang-e-hina ka bosa

    Source:

    Riyaz Rizwan (Pg. ebook-398 page-268)

    • Author: Niyaz Ahmad
      • Edition: 1938
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now