Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko manzur hai marne pe subuk-bari ho

Rasheed lakhnavi

mujhko manzur hai marne pe subuk-bari ho

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    mujh ko manzūr hai marne pe subuk-bārī ho

    aur ahbāb ko hai fikr kafan bhārī ho

    zindagī meñ na milā zaḳhm-e-jigar ko marham

    ḳhair chādar mirī qabr zangārī ho

    yaad hai roz-e-azal dil jo garāñ hai kyā ġham

    maiñ ne ḳhud kah ke liyā thā ki zarā bhārī ho

    ātish-e-husn javānān-e-chaman bhaḌkā de

    jo gul-e-surḳh pattī ho vo chingārī ho

    terī rahmat ke sahāre pe ginā kartā huuñ

    tark kar duuñ agar is meñ bhī gunāh-gārī ho

    mujh siyahkār hai mohr to uThtī nahīñ mehr

    mere allāh na itnī bhī girāñ-bārī ho

    āj-kal paas hai phir naqd-e-dil-e-zār 'rashīd'

    phir kisī ġhairat-e-yūsuf ḳharīdārī ho

    mujh ko manzur hai marne pe subuk-bari ho

    aur ahbab ko hai fikr kafan bhaari ho

    zindagi mein na mila zaKHm-e-jigar ko marham

    KHair chadar hi meri qabr ki zangari ho

    yaad hai roz-e-azal dil jo garan hai kya gham

    main ne KHud kah ke liya tha ki zara bhaari ho

    aatish-e-husn jawanan-e-chaman bhaDka de

    jo gul-e-surKH ki patti ho wo chingari ho

    teri rahmat ke sahaare pe gina karta hun

    tark kar dun agar is mein bhi gunah-gari ho

    mujh siyahkar ki hai mohr to uThti nahin mehr

    mere allah na itni bhi giran-bari ho

    aaj-kal pas hai phir naqd-e-dil-e-zar 'rashid'

    phir kisi ghairat-e-yusuf ki KHaridari ho

    Source:

    Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-70 page-71)

    • Author: Piyare Sahab Rasheed
      • Edition: 1952
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now