Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko mere nasib ne roz-e-azal se kya diya

Fani Badayuni

mujhko mere nasib ne roz-e-azal se kya diya

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    mujh ko mire nasīb ne roz-e-azal se kyā diyā

    daulat-e-do-jahāñ na ik dil-e-mubtalā diyā

    dil nigāh-e-nāz ek adā-shanās thā

    jalva-e-barq-e-tūr ne tuur ko kyuuñ jalā diyā

    qabr meñ jab kisī tarah dil taḌap na kam huī

    yād-e-ḳhirām-e-nāz ne hashr aasrā diyā

    roz-e-jazā gila to kyā shukr-e-sitam ban paḌā

    haa.e ki dil ke dard ne dard ko dil banā diyā

    ab mirī laash par huzūr maut ko koste to haiñ

    aap ko ye bhī hosh hai kis ne kise miTā diyā

    dil meñ samā ke phir ga.ī aas bañdhā ke phir ga.ī

    aaj nigāh-e-dost ne kaaba banā ke Dhā diyā

    uf ki gunāhgār ham haiñ to magar ḳhatā muaaf

    aaTh pahar ke dard ne dil to hai dukhā diyā

    aap ham apnī aag meñ ai ġham-e-ishq jal bujhe

    aag lage is aag ko phūñk diyā jalā diyā

    yuuñ na kisī tarah kaTī jab mirī zindagī raat

    chheḌ ke dāstān-e-ġham dil ne mujhe sulā diyā

    girya-e-ātshīñ daad de shab-e-ġham to kaun de

    ḳhud sar-e-shām kyā bujhī sham.a ne dil bujhā diyā

    yaas ne dard nahīñ haq to ye hai davā bhī

    'fānī'-e-nā-umīd ko maut aasrā diyā

    mujh ko mere nasib ne roz-e-azal se kya diya

    daulat-e-do-jahan na di ek dil-e-mubtala diya

    dil hi nigah-e-naz ka ek ada-shanas tha

    jalwa-e-barq-e-tur ne tur ko kyun jala diya

    qabr mein jab kisi tarah dil ki taDap na kam hui

    yaad-e-KHiram-e-naz ne hashr ka aasra diya

    roz-e-jaza gila to kya shukr-e-sitam hi ban paDa

    hae ki dil ke dard ne dard ko dil bana diya

    ab meri lash par huzur maut ko koste to hain

    aap ko ye bhi hosh hai kis ne kise miTa diya

    dil mein sama ke phir gai aas bandha ke phir gai

    aaj nigah-e-dost ne kaba bana ke Dha diya

    uf ki gunahgar hum hain to magar KHata muaf

    aaTh pahar ke dard ne dil hi to hai dukha diya

    aap hum apni aag mein ai gham-e-ishq jal bujhe

    aag lage is aag ko phunk diya jala diya

    yun na kisi tarah kaTi jab meri zindagi ki raat

    chheD ke dastan-e-gham dil ne mujhe sula diya

    girya-e-atshin ki dad de shab-e-gham to kaun de

    KHud sar-e-sham kya bujhi shama ne dil bujha diya

    yas ne dard hi nahin haq to ye hai dawa bhi di

    'fani'-e-na-umid ko maut ka aasra diya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mujhko mere nasib ne roz-e-azal se kya diya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now