Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko saza-e-maut ka dhoka diya gaya

Saleem Ansari

mujhko saza-e-maut ka dhoka diya gaya

Saleem Ansari

MORE BYSaleem Ansari

    mujh ko sazā-e-maut dhoka diyā gayā

    merā vajūd mujh meñ dafnā diyā gayā

    bolo tumhārī riiḌh haDDī kahāñ ga.ī

    kyuuñ tum ko zindagī tamāsha diyā gayā

    āñkhoñ ko merī sach se bachāne fikr meñ

    T v ke scrēn pe chipkā diyā gayā

    sāzish na jaane kis baḌī kāmyāb hai

    har shaḳhs apne aap meñ bhaTkā diyā gayā

    lahje meñ sach zuhūr ugalne jurm thā

    merī ġhazal ko dhuup meñ jhulsā diyā gayā

    mujh ko saza-e-maut ka dhoka diya gaya

    mera wajud mujh mein hi dafna diya gaya

    bolo tumhaari riDh ki haDDi kahan gai

    kyun tum ko zindagi ka tamasha diya gaya

    aankhon ko meri sach se bachane ki fikr mein

    T w ke screen pe chipka diya gaya

    sazish na jaane kis ki baDi kaamyab hai

    har shaKHs apne aap mein bhaTka diya gaya

    lahje mein sach ka zuhur ugalne ka jurm tha

    meri ghazal ko dhup mein jhulsa diya gaya

    Source:

    Hindustani Gazle.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now