Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh mein ab nahin baqi hausla bichhaDne ka

Saima Aftab

mujh mein ab nahin baqi hausla bichhaDne ka

Saima Aftab

MORE BYSaima Aftab

    mujh meñ ab nahīñ baaqī hausla bichhaḌne

    multajī huuñ denā mat indiya bichhaḌne

    is se baḌh ke kyā hotā zindagī ke dāman meñ

    ek ġham hai hone dūsrā bichhaḌne

    pyaar aur tavaqqo.a ke silsile na baḌh jaa.eñ

    is jagah munāsib hai sochnā bichhaḌne

    aap suhūlat bas ham aziiz rakhte haiñ

    maañg lo atā hogā rāsta bichhaḌne

    har milan judā.ī avvalīn manzil hai

    vasl se juḌtā hai silsila bichhaḌne

    be-sukūn shāmoñ se be-yaqīn sub.hoñ tak

    tai huā hai āḳhir har marhala bichhaḌne

    bhāñp to ga.e the ham saath aarzī hai ye

    jān-e-man magar phir bhī dukh huā bichhaḌne

    mujh mein ab nahin baqi hausla bichhaDne ka

    multaji hun dena mat indiya bichhaDne ka

    is se baDh ke kya hota zindagi ke daman mein

    ek gham hai hone ka dusra bichhaDne ka

    pyar aur tawaqqoa ke silsile na baDh jaen

    is jagah munasib hai sochna bichhaDne ka

    aap ki suhulat bas hum aziz rakhte hain

    mang lo ata hoga rasta bichhaDne ka

    har milan judai ki awwalin manzil hai

    wasl hi se juDta hai silsila bichhaDne ka

    be-sukun shamon se be-yaqin subhon tak

    tai hua hai aaKHir har marhala bichhaDne ka

    bhanp to gae the hum sath aarzi hai ye

    jaan-e-man magar phir bhi dukh hua bichhaDne ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now