Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh mein bahti hai pagal hawa kaun si

Lutf-ur-rahman

mujh mein bahti hai pagal hawa kaun si

Lutf-ur-rahman

MORE BYLutf-ur-rahman

    mujh meñ bahtī hai pāgal havā kaun

    kaun hai ye bād-e-sabā kaun

    tujh ko samjhā thā maiñ manzil-e-justujū

    ye bulātī hai mujh ko sadā kaun

    dil baḌī be-niyāzī se uTh kar chalā

    hai tire ġham ye intihā kaun

    maiñ ki lauTī huī apnī āvāz huuñ

    ab bikhartī hai mujh meñ sadā kaun

    dekh kar tujh ko bujhte diye jal uThe

    dil ke bujhne hai ye adā kaun

    ek ik ruḳh se zāhir hai ab be-ruḳhī

    is meñ hai sirf terī ḳhatā kaun

    apnī āvāz par aa rahā hai yaqīñ

    kaam aa.ī ye mere du'ā kaun

    mujh ko har ik nazar meñ tamāshā kiyā

    jurm kyā thā mirā sazā kaun

    mujh mein bahti hai pagal hawa kaun si

    kaun si hai ye baad-e-saba kaun si

    tujh ko samjha tha main manzil-e-justuju

    ye bulati hai mujh ko sada kaun si

    dil baDi be-niyazi se uTh kar chala

    hai tere gham ki ye intiha kaun si

    main ki lauTi hui apni aawaz hun

    ab bikharti hai mujh mein sada kaun si

    dekh kar tujh ko bujhte diye jal uThe

    dil ke bujhne ki hai ye ada kaun si

    ek ek ruKH se zahir hai ab be-ruKHi

    is mein hai sirf teri KHata kaun si

    apni aawaz par aa raha hai yaqin

    kaam aai ye mere du'a kaun si

    mujh ko har ek nazar mein tamasha kiya

    jurm kya tha mera di saza kaun si

    Source:

    Tahreek Jild 22 Shumara 10 January 1975-Svk (Pg. 15)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now