aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh mein KHushbu basi usi ki hai

Ramzi Asim

mujh mein KHushbu basi usi ki hai

Ramzi Asim

MORE BYRamzi Asim

    mujh meñ ḳhushbū basī usī hai

    jaise ye zindagī usī hai

    vo kahīñ ās-pās hai maujūd

    hū-ba-hū ye hañsī usī hai

    ḳhud maiñ apnā dukhā rahā huuñ dil

    is meñ lekin ḳhushī usī hai

    ya.anī koī kamī nahīñ mujh meñ

    ya.anī mujh meñ kamī usī hai

    kyā mire ḳhvāb bhī nahīñ mere

    kyā mirī niiñd bhī usī hai

    mujh mein KHushbu basi usi ki hai

    jaise ye zindagi usi ki hai

    wo kahin aas-pas hai maujud

    hu-ba-hu ye hansi usi ki hai

    KHud main apna dukha raha hun dil

    is mein lekin KHushi usi ki hai

    yani koi kami nahin mujh mein

    yani mujh mein kami usi ki hai

    kya mere KHwab bhi nahin mere

    kya meri nind bhi usi ki hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mujh mein KHushbu basi usi ki hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now