Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh par nishan lagaiye pahle sawaliye

Faisal Nadeem Faisal

mujh par nishan lagaiye pahle sawaliye

Faisal Nadeem Faisal

MORE BYFaisal Nadeem Faisal

    mujh par nishāñ lagā.iye pahle savāliye

    phir mas.aloñ ko kholiye aur hal nikāliye

    jazbāt aa sake haiñ kabhī iḳhtiyār meñ

    āñkhoñ fikr chhoḌiye dil ko sambhāliye

    vahshat ne merī niiñd pe pahre lagā diye

    kuchh ḳhvāb merī aañkh jānib uchhāliye

    vahm-o-gumāñ utaar ke pheñke haiñ aur phir

    ham ne yaqīñ uun se ḳhirqe silā liye

    kam paḌ rahā thā pahle kashkol-e-zindagī

    aur ham ne apnī zaat ke ġham bhī uThā liye

    kuchh log gaañv chhoḌ ke shahroñ meñ base

    baaqī ko intizār dīmak ne khā liye

    'faisal' vo phir bhī aañkh pe zāhir nahīñ huā

    parde bhī darmiyān se saare uThā liye

    mujh par nishan lagaiye pahle sawaliye

    phir masalon ko kholiye aur hal nikaliye

    jazbaat aa sake hain kabhi iKHtiyar mein

    aankhon ki fikr chhoDiye dil ko sambhaaliye

    wahshat ne meri nind pe pahre laga diye

    kuchh KHwab meri aankh ki jaanib uchhaaliye

    wahm-o-guman utar ke phenke hain aur phir

    hum ne yaqin ki un se KHirqe sila liye

    kam paD raha tha pahle hi kashkol-e-zindagi

    aur hum ne apni zat ke gham bhi uTha liye

    kuchh log ganw chhoD ke shahron mein ja base

    baqi ko intizar ki dimak ne kha liye

    'faisal' wo phir bhi aankh pe zahir nahin hua

    parde bhi darmiyan se sare uTha liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now