Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhse bezar girne wali thi

Sarfraz Arish

mujhse bezar girne wali thi

Sarfraz Arish

MORE BYSarfraz Arish

    mujh se bezār girne vaalī thī

    sar se dastār girne vaalī thī

    us ne tasvīr Taañk apnī

    varna dīvār girne vaalī thī

    merī baisākhiyoñ ne aah bharī

    jab vo nā-chār girne vaalī thī

    kitnī ḳhush thī vo jast bhartī huī

    jaise us paar girne vaalī thī

    khaa.ī thī koī ḳhvāb thoḌī thā

    aañkh be-kār girne vaalī thī

    ḳhuun fāteh qarār paayā thā

    ġham se talvār girne vaalī thī

    bhāgte bhāgte mire hamrāh

    merī raftār girne vaalī thī

    ek Dhoñgī mehrbānī hai

    varna sarkār girne vaalī thī

    mujh se bezar girne wali thi

    sar se dastar girne wali thi

    us ne taswir Tank di apni

    warna diwar girne wali thi

    meri baisakhiyon ne aah bhari

    jab wo na-chaar girne wali thi

    kitni KHush thi wo jast bharti hui

    jaise us par girne wali thi

    khai thi koi KHwab thoDi tha

    aankh be-kar girne wali thi

    KHun fateh qarar paya tha

    gham se talwar girne wali thi

    bhagte bhagte mere hamrah

    meri raftar girne wali thi

    ek Dhongi ki mehrbani hai

    warna sarkar girne wali thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now